Sunday 22 April 2012

Zindagi Musalsal Imtehan Hai

Koi kehta hai zindagi musafrat ka naam hai.Insaan musalsal safar mai hai lekin mai is say ikhtilaf karty hoye kehti hun kay zindagi darasl aik imtehan ka naam hai .kyun kay jab hum school mai pheli baar jaty hain to humary maa baap humko chor kay aty hain to vo humary leya both bara imtehan hota hai .Class ka mahool new bachy , ik new teachers ,ajeeb ajeeb terhan k bachy yeh sab dekh kar dar or khuf mehsoos karty hain or yehi humara phela imtehan hota hai or kis terhan hum apny apko is new mahool mai adjust karty hain is kay baad say humara har paal ik new imtehan say guzar raha hota hai .Humara har rooz har din ik imtehan say kam naee hota humko apni zindagi mai hamesha ik imtehan say guzarna parta hai , humain apny apko ik new mahool mai dahlna parta hai.

Ishe terhan ik larka jab job ki talash mai jata hai ,us k bad job milna phela din job ka vo sub us ki zindagi mai bohot bara imtehan hota hai ,ishe terhan larki shadi k bad jub new ghar mai jati hai new logun say milti hai vo sab is k leya ik inmtehan say kam naee hota usko us new mahol mai dhalna parta hai,imtehan srf humary school college or university mai naee balky puri zindagi humari imtehan ka naam hai ishe leya kaha jata hai zindagi ik musalsal imtehan ka naam hai.

Sehat Mannd Zindagi Aik Besh-Baha Dolat

Achi sehat kay leya zaruri hai kay hum sehat maand zindagi guzarany kay asulun ko samjhain . Sub say phela asol yeh hai kay hum ko rozana acha khana khana chaheyeh .Hum mai say aksar rozana 3 bar khana khaty hain.or har 2 khanun kay bad halka phulka nashta karty hain .Subha ka nashta sab say zada ahmiyat rakhta hai .Aik acha nashta humko din bhar chuk o chubund or kam karny kay leya tayar rakhta hai.Hum ko hamesha waqt pay khana khanaa chaheyeh,agar hum waqat py khana na kahyain yah humara khana munasib miqdar kin a ho to hum kabhi b sehat mannd nahi reh sakty .

Rozana warzish karma or khelna bhi sahat kay leya bohot zaruri hai ,is say humari body strong hoti hai ,khel or kam k bad hum thakan mehsos karty hain or usko dur karny k leya hum ko aram bohot zaruri hai .sehat mannd zindagi k leya safaee ka hona b zaruri hai,or agar hum safaee ka khas kheyal rakhain to hum kafi bimariyoun say dour reh sakty hain.

Should Boys Be Given Preference On Girls

Many girls are greatly disturbed by their lot as girls in this changing world. They are becoming painfully conscious of the fact that there is something basically wrong with their place in the modern world. Boy are given much importance than girls in every society in this world.

We find career woman every where we find professional women admit us.There are Woman doctors,woman lawyers,woman teachers,woman engineers,woman complete with man in every sedment of human life. Going a step further, woman have equal rights with men .They have voting rights as wall.

Although girls have made great progress in education and have contribution their service in different field of life ,the contention is that the basic attitude of society towords girls has not changed radically so the girls are not able to play their proper role to the fullest measire in society . We often hear the girls complaining of the dueness and loudness of staying at home and looking after children .Many a married woman has to give up her career after marriage . Now days we hear people talking kitchen education for girls. There are educatinists who talk of giving girls on education different from that the boys.

Society should begin to think of the girls first as human beings ,and then only as woman. Girls should be given the opportunity and freedom to spend a few hours away from the home, to engage themselves in some kind of work in the community. So as to keep away the feelings of frustration and loneliness that may arise if they remain within the wall of the home all the time. It is the need of the modern world that the boys and the girls both should be given equal rights and no preference one another in the society .

The Problems Faced By Divorced Ladies

Our society is an Islamic society but the injustice with women in our society is common. Most of the marriages of woman in our society are arranged by their parents and woman have to compromise in the new environment at their new homes. It is commonly expected that a woman should be have like a puppet with respect to the will of her husband .when adjusted of married ladies is not successful with their husbands, they are divorced. These divorced ladies then become the victim of the society no one tries to analyse the condition of divorc but all the members of the society put the blame of irresponsibility on the divorced lady.

A divorced woman has to face a lot of problems . Every one looks down upon her. In fact she lost her dignity . It becomes a sign for her to think about herself she cannot remarriage and if she does so. Society will not accept her this step. The society treats a divorce lady as a third class citizen. If a divorced lady walks for financial stability and protection, then she is blamed that she is a corrupt woman nature and got divorced because she wanted to have freedom without any restrictions and enjoy herself to the fullest.

Our Holy Prophet ( P.B.U.H) the prophet of islam had declared that “Womna is sovereign in the house oh her husband and pradise lies at feet of mother” .

Normally common men do not ready to marry with divorced ladies in our society. Ggenrally the second marriage of the divorced ladies is done with aged persons. Our Holy Prophet (peace be upon him) established an example to marry with divorced ladies. It is our responsibility to treat divorced ladies normally and try to give them all those rights which have established by Islamic Teaching for them.

Saturday 21 April 2012

ABUSE OF CELL PHONE !!!

WHAT IS A CELL PHONE ???

CELL PHONE IS A DEVICE WHICH IS USED TO CONTACT WITH OTHERS FOR SOME IMPORTANT REASONS.....LIKE FOR BUSINESS DEALINGS...TO TALK WITH YOUR DEAR ONES WHO LIVED FAR AWAY FROM YOU.....AND SO ON....BUT TODAY WE ARE WATCHING THAT WE MAKE ABUSE OF THIS USE FULL DEVICES....LIKE BY FORWARDING UNNECESSARY MESSAGES TO OTHERS.....BY TEASING SOMEONE FROM DIFFERENT NO. IN SUCH A WAY WE ARE ABUSING THIS VERY USE FULL DEVICE.....AND THE WORST THING IS THAT....

THE SIM CARD COMPANIES DAY BY DAY BRINGS LATEST PACKAGES FOR CALLS AND MESSAGES SO THAT OUR YOUTH IS FULLY MAD TOWARDS THAT.....DAY AND NIGHT OUR YOUTH IS BUSY IN UTILIZING THESE PACKAGES......WE ALL HAVE TO THINK OVER IT THESE THINGS ARE HIGHLY DESTROY OUR STUDIES....HEALTH AND ALL.........SIM CARD COMPANIES INTRODUCES NIGHT PACKAGES...NOW WHAT THE HELL WHICH BUSINESS IS OPEN ON NIGHTS......THESE THINGS COMPLETELY RUINED OUR YOUTH.........BECAUSE IN SUCH A WAY YOUTH IGNORE EDUCATION AND THEY SUFFER ALL THERE TIME WITH CELL PHONES FOR DOING HILARIOUS ACTIVITIES.........WE ALL NEED TO THINK OVER IT AND HAVE TO STOP ALL THESE UNNECESSARY ACTIVITIES..........

Aye putar hatan te nai wikdey (TRIBUTE to Pak Army)‏

Koi bhi aisa Pakistani nahi hoga jo is naghme ko sun kar apne fauji jawano par fakhr mehsoos na kare ya in ki bahaduri par...in ki shahadat par rashk na kare...in ke liye anso na bahaye...par kya humare ye jazbat sirf naghmo tak hi wakf ho kar reh gaye hain kya humein apne faujiyon ki na qabil e faramosh qurbaniyan... in ki humare liye ki gayi khidmaat sirf tabhi yaad ayein gi jab hum bade josh o walwaley se ye naghme sune... in ke qisey suney...ya phir 6 september ko tv par dekhaye jane wale shows bade khush hokar dekhein or apni fauj ki tareefein kar or bus... 

Arey nahi bhae hum tabhi apne faujiyon ko yaad karte hain jab in par koi musibat aati hai...Media ke numainde apne channel ke busy schedule mein se kuch waqt in faujiyon par surf kar dete  hain...jaise in ke ghar walon se mil kar unki bebasi ko apne dekhne walon tak pohancha kar... un par kuch der ki footage dekha kar...or busss....itna kafi to hai or waise bhi humare paas tou or bhi buhat se kaam hain...saal mein do teen din kafi hain in logon ke liye jo pure saal humari hifazat karte hain...humari sarhadon ki hifazat karte hain...apne ghar walon se duur rehte hain takey hum apni khushiyan apne apnon ke sath mana sakein...jabhi hum par koi musibat ati hai to ye subse pehle aage barh kar humari madad ko pohanchte hain...kya ye humari khud garzi nahi ke jab humare faujiyon ko humari zarorat hoti hai to hum bus hath par hath dhare bethey rehte hain..  

.agr hum kuch nahi karsakte par hum dua to karsakte ke "Aye ALLAH jo humari sarhado par beth kar humari hifazat karahe hain to in ki hifazat farma...in ko apne aaman mein rakh..." 

Hum agar kabhi apni or in ki zindagiyon par nazar dalein to humein ehsas hoga ke ye kitni mushkil zindagi guzarte hain...har waqt maut ke saye mein rehte hain par phir bhi ye soch kar khush rehte hain ke hum apne mulk or is ki awaam ke liye kuch karahe hain...or inki awam inke liye kia karti hai,jahan koi mauqa mila bas hogai shuru apne faujio ki burai karna.come on grow up,kia hum or hamara media sirf or sirf tanqeed karna he janta hai or jab koi hadsa pesh ajaye tou bare bare programs pesh kardeta hai jaise inse ziada fauj ka koi or hamdard hai he nhi.. 

khudara faujio ki is mulk k liye di gayi qirbaniyo ko samjhiye or sirf kisi special day ya hadse ki surat mein he nhi balke aam dino mein bhi unki hosla afzai ki jaye.

WO HUMSE BEHTER JANTE HAIN

pata nhi wo q nhi samajhteen? kbhi meri feelings ka andaza nhi laga patee'n?hamesha mujhe he q ghalat tehraya jata hai?jab dekho main he ghalat hoti hoon!ye na karo, aisa na betho, aise kapre na pehno, aise na bolo, abbu ghussa karen ge, bas main tou tang agai hoon is zindagi se this is the limit! aakhir meri bhi koi personal life hai n i want to enjoy it as i want...or kal tou had he hogai na jane kis anjan larke ko mujhse itroduce karwadia or meri amma sahiba kehti hain k mujhe ussay shadi karni hogi q k unko or mere abbu ko wo larka or uske gher wale pasand hain...meri pasand ka kia! uufff!! 

uni k cafe mein theek mere samne wali table pe bethi hoi larki rote huwe apni friend ko apni aap beeti suna rhi thi or uski friend uske aansoo ponchne k sath sath samosa b kha rhi thi jaise wo koi kahani sun rhi ho ya live movie dekh rhi ho.or usey samjha rhi thi k kia kar skte hain yaar hamare parents hamen samajhte he kahan hain unhen tou bas apni he fkar rehti hai hamari khuahishat ka unhen khayal kahan kher tum rona band karo abi class ka time hone wala hai phir baad mein baat karenge.jao tum apne liye jaldi se lunch le k ao phir sath chalte hain,jo larki apni rudad suna rhi thi uske uthte he uski "hamdard dost" ne table pe bethi hoi doosri larki se kehna shuru kia aray ye tou hai he aisi,kapro ki tarha tou ye boyfriends change krti hai hahaha amma abba ko iski harkato ka ilm hogya hoga isi liye rishta dhoond rhe hain phir dono larkian zor zor se hansne lageen.. 

ye dekh k mera dil chaha k jo larki apni rudad apni dost ko apna hamdard or kher khua samjh k suna rhi thi usay uski dost k khayalat uske liye batadoon..phir main sochne lagi k ye hamari ghalat fehmi hoti hai k hamare waliden se ziada koi or hamara sacha mukhlis koi or nhi hoskta.hum kitni asani se kehdete hain na ammi abbu ko hamari khuahishat ki koi fikar nhi hum ye bhool jate hain k jab hum bolna bhi nhi jante thay us waqt bhi wo hamari tamam khuahish samjah jate thay tou kia wo hamare liye koi b faisla ghalat kar skte hainn!!!kabhi ye nhi sochna chahiye k hamare waliden ne hamare liye ghalat faisla kia ya kar rhe hain q k wo ghalati se bhi hamare liye koi ghalat faisla nhi kar skte.    

KIYA YAHI HUM MUSALMANO KI SACHAI HAI!!!!

"Ilm ek lazawal Daulat hy"
Ilm aik aisi daulat hy jise ap se duniya ki koi Taqat dor nahi kar sakti. Ilm aik aisi rehnumai karne ka ala hy jis ki zarurat apko mehsos tu nahi lagti magar phir bhi yeh chez buhat ehmiat rakhti hai. Jab hi humare Rasool Hazrat Muhammad (S.A.W.W) ne farmaya ke: "Ilm hasil karu azal se abad tak"
Ilm ko hasil karne ki koi pemaish nahi kyonke ye tu aik aisa dariya hai jis me qadam rakhte hi aap aik sire se dusre sire tak pohanch jate ho. Sahi lafzon me kaha jaye tu ilm har insan hasil kar sakta hai  magar aj ise sirf ameer logon ki zeenat bana diya gaya hai kyon ke ilm se mushabihat rakhti hai Taleem aur Taleem hasil karne ke liye zaraye mujod hona lazmi hai. Kiya ye bhi ilm nahi ke ap koi choti si malomat hasil karlen. Jo log Degrees le kar Idharo se bahir ate dikhaye dete hai aur khud ko Oncha samajhne lagte hai kiya woh bhi Aamil hote hote hain nahi balke Aamil tu hota hai wo shakhs jis ne Taleem ko aur Ilm ko sahi maiyno me samjha ho use Achai aur Burai ka fark sahi tarah malom ho.
Is ki misal me apne hi qareeb ke logon ki Baton se lagati hon ke wo Aj ke is dor me kisi aik aamil pe yaqeen nahi karte balke wo har se pochna chahte hai tab tak jab tak unhe tasali bakhsh jawab na mil jaye. Ye aqaid humari bunyad ban gaye hai aur isi wajeh se tafarqe paida ho rahe hai.
Humare Khalifa ke dour me un ki bat aur ek mutalbat pathar ki lakeer hote the aur aj ke is dour me agar aik baat 10 ulma bi bol rahe ho tu logon ko aisa mehsos hota hai ke inka taluq ek hi jamat se hoga. Aj hum is ilm ki jadujehad me nahi balke apni marzi ke ilm ki khawahish me nazar ate malom hote hai. Kiya yahi sach hai??
aur kiya yahi hum musalmano ki sachai hai!!!!

MUJHEY NAZ HAI KHUD PE!

Main ghuroor hoon apne abbu ka, mujh mein jhalak hai meri ammi ki.. main jeeti hoon unke khuab purey karne k liye wo kuab jo dar haqeeqat mere thay magar mere maa baap ne unhen apna bana liya sirf is liye q k un khuabo'n ko maine dekha hai.. mera khuab muashre mein apni pehchaan banana aik mazboot maqam banana han jis din ye khuab pura hoga iski damak main apne amma abba ki aankho main saaf dekhon gi us din log mujhe unke naam se nhi balke unhen mere naam se pehchane gey... 

q daroo main khuab dekhne se sirf is liye q k main aik larki hoon??mujhme itni himmat or qabiliyat hai k main apne  an ginat khuabo ko pura kar skti hoon q k mujhe har qadam par himmat dene or mera aitmaad barhane k liye mere maa baap meri behen mere tamam gher wale mere teachers mojood hain,q sochoo k mere khuab purey honge ya nhi jab k mere paas dunya o kainat ka MAALIK hai jo har imtihaan mein meri madad karta hai.. 

mujhe naz hai khud pe or har us larki pe jo na sirf khuab dekhti hai balke unhen pura karne ki himmat b rakhti hai or apne khuabo ko poora karne ki har mumkin koshish karti hai. larkio kuch aisa kaam zaroor karo jiske zariye tumhare amma abba tumpe fakahr karen...

 

NAQAL KHAPPEY !!!

EK ZAMANA THA JAB CHEATING KARNA, EK GUNAH KEY BRABAR SAMJHA JATA THA AUR CHEATING BHI CHORI CHUPAY KARNEY KO KAHA JATA THA, LEKIN ABB WO DOR AGAYA HAI, JAB CHEATING BHI SAB KEY SAMNEY AUR BARAY FAKHARYA ANDAAZ MAI KI JATI HAI, AUR CHEATING KARNEY KO QABIL E FAKHAR FAIL SAMJHA JATA HAI.

PAKISTAN MAI HAALYA AISI HI KUCH SURAT E HAAL DEKHNEY MAI AYI, MATRIC K IMTEHANAAT MAI IS BAR JITNI CHEATING HOWI HAI WO SOCH HAI APP KI !!!

TULBA O TAALBAT IMTEHANI MARAKAZ MAI CHEATING KARNE MAI AISEY MAST NAZAR AYAE JIS KI KOI HAD NAHI..... NA INHEN APNEY ASAATZAA KA DAR THA...KYUN K WOO TU IN KEY SATH HI MILEY HOWEY THAY....AUR YEHI SAB SEY BARI WAJA THI KEY YE TALIB E ILM BACHAY.....APNEY KAAM MAI MAGAN THAY.....IN BACHON KO NA TU MEDIA KA DAR THA AUR NA IS BAT KA KHOUF K IN K GHAR WALEY INHEY AISY HARKAT KARTEY HOWEY DEKH BHI SAKTEY HAIN...

JAB BACHON KI BUNYAAD MAI HI CHEATING HOGI, TU WO KESY AGEY JA KAR APNEY MULK O QUOM AUR APNEY APP SEY MUKHLIS HONGEY......GHAR WALON AUR ASAATZAA KO BACHON KO SAMJHANA CHAHYE K CHEATING EK BURA FAIL HAI.........AUR HUM SAB KO IS SEY DUR REHNA CHAHYEE.......AUR APNA HAR KAM EMAANDAARI KEY SAATH KARNA CHAHYE...........

KYA RAKHA HAI PAKISTAN MAI !!!


PAKISTAN HUMARA MULK ! HUMARAY ABA O AJDAAD NEY MULK KO BARI QURBANIYON KAY BAD HASIL HOWA. IS MITTI KI MUHABBAT SAB KEY DILON MAI AJJ BHI ZINDA HAI. AUR AJJ BHI WATA SEY MUHABBAT KA JAZBA HUM SAB K DILON MAI SAR SHAAR HAI.

LEKIN ROZ MARRAH KI BHARHTI HOWI KASHEEDGIYAN AJJ IS MUHABBAT KEY JAZBAY KO KUM KARTI JA RAHI HAI. LOG AJJ APNI IS MITTI KO CHOR KAR PARDES JA BASEY HAIN. LEKIN KYA WAQAYI HUMARAY DILON MAI APNEY MULK KEY LYE MUHABBAT KHATAM HOGAYI HAI.
                                       SHAYAD NAHEEE.....

KYUN KEY AJJ BHI JAB HUMARI QOUMI CRICKET TEAM KHEL K MAIDAANMAI UTARTI HAI, AWAAM KA JAZBA IS BAT KA EHSAAN DILATA HAI, KEY HAMEY AJJ BHI APNEY MULK SEY, APNEY MULK K LOGON SE PYAR HAI, AJJ BHI AGAR PAKISTANI TEAM KHEL KEY MAIDAN MAI SHIRKAT KARTI HAI TU, MULK KA BACHA BACHA IS MAI SHIRKAT KAR KEY KHILARION KI HOSLA AFZAYI KARTA HAI, HAR SHAKS PURAY JOSH O KAROOSH SEY KHEL MAI SHAMIL HOTA HAI....JESAY APNEY HI MULK MAI HON......HUM IS MUHABBAT KO FARAMOSH NAHI KAR SAKTAY, AUR YEH WO JAZBA HAI JO HAR PAKISTANI K DIL MAI HOTA HAI ....CHAHEY WO PAKISTAN MAI HO YA KAHIN AUR.....

AUR AJJ LOG GHOMNEY PHERNEY AUR SAIR O TAFREEH KI JAGA MURREE, QUETTA JANEY KO QABIL E FAKHAR SAMAJTEY HAIN, KYUN KEY PAKISTAN MAI ITNEY DILKASH MANAZIR, KHUBSOORAT WADIYAN HAIN, JO LOGON KEY DILON MAI HUBUL WATNI KA JAZBA PAIDA KARTI HAI....HUMARA MULK HUMARI PEHCHAN HAI, TU HUMEY IS KAMI KO DUR KARNEY KI JUSTUJOO KARNI CHAHYE, NA K IN NA PAIDAAR WAJHA JO HUMARAY MULK K SIYASI MAHOOL MAI CHAL RAHI HAI, APNA MULK APNA HOTA HAI.........IS KO YEH KEHNA K PAKISTAN MAI KUCH NAHI RAKHA YE SARASAR GHALAT HAI........

       PAKISTAN MERA MULK HAI..........AUR SAB KUCH HAI PAKISTAN MAI !!!






     

don't under estimate khans



In Pakistan khans or pathans are known as “akrot” because of their unwise full acts. We consider them.
But if we look in the past khans have made lots and lots of contribution in our success like salman khan, shahrukh khan, aamir khan are most dominated persons in bollywood film industry.
Nusrat faheh ali khan and rahet fahat ali khan have won lots of hearts through their sweet and melodious voice. Jahagir khan and jamsher khan the most prominent squash players in the world are also khan who are world first class squash players and now when it comes to world of cricket umar gul and shahid khan afridi again khan are enriched with unbreakable world records in the field of cricket and of course the great imran khan and youns khan the have brought world cup in our country from both sides 50-50 and t20. Kamran khan the very renowned journalist who have pool of knowledge who's hard hitting talk shows have showed us true face of our politics and government and last but not the least dr.abdul qadir khan  “Mohsin-e-Pakistan” (Savior of Pakistan) Pakistan's top scientist who have given nuclear project the first Muslim state to have nuclear project. We have so many genius and intelligent khan who have won great tittles in almost every field so how can we say that khan and pathans are mindless persons. Simpletons are found in every society but that don't mean just pathans and khan are only mindless all I have to say that we have to realize their skills and genius mind and appreciate them not dis heart them as they are also our brethren. 











MASHRAY KA ASAR YA PARWARISH MAI KAMI ...

Once a man sit in his garden and busy in reading newspaper his old father come towards him & sit besides him suddenly old man see crow on tree he ask to his son what it is ? He replies dad it is crow than again start reading after sometime old man again asks beta wo kya hai ? Son replies it's crow daddd.. than start reading . Third time old man again asks the same question son replies so rudely whats problem dad why are you asking the same question again n again I have already told you it is crow.. dad smile n said beta you know when you were kid you asked me the same question hundreds of times n every time i replied you so happily n you are tired of my question just after three times.
Just think what we are doing with our parents ?? they bring up us, bear our all acts, at every single pain of their child they feel more pain, they sacrifice their happiness for their children, they dedicate their life to their child but at the end what they get ?? Just Edhi houses or misbehaving attitude from their child .. At the age when child need their parents, parents always there for the guidance of their child now compare the time when parents need their child most at old age they get just disappointment or old age homes.. 
Is this the fruit of their struggle which they did to bring up their child.. No it is so shameful deed but with great grief majority of us is busy in doing these deeds :( ..
 May ALLAH keep us in his guidance and keep the respect of our parents in our heart. 







Friday 20 April 2012

AURTON K HUQOOQ...

AURAT JO K BEHEN BHI HAI, MAA BHI AUR KISI KI BIWI BHI.......HAMESHA APNEY ILAWA HAR KISI KI KHUSHI KA KHAYAL KARTI HAI.......BEHEN HAI TU APNE BHAI BEHNO KA.... MAA HAI TU APNI AULAAD KA AUR BIWI HAI TU APNEY SHOHAR KA...LEKIN YE MAASHRA AURAT KO APNI ZINDADI DHANG SE JEENEY Q NAHI DETA, EK AURAT KO IS MASHRAY KI WAJA SEY KIN KIN MUSHQILAAT KA SAMNA KARNA PARTA HAI.. AGAR KOI AURAT APNEY MAALI HAALAT KI WAJA SEY KABHI KAAM KARNEY KI GARZ SEY BAHAR BHI NIKALTI HAI, TU EK KAM KARNEY WALI AURAT KO MASHREY MAI KIN NIGHAON SE DEKHA JATA HAI. DEKHNEY WALEY YE NAHI SOCHTEY K WO AURAT KIN MUSHKILAAT AUR PARESHANIYO KA SAMNA KAR K YEH QADAM UTHATI HAI. KYUN AURAT KO HAR BAR HAIRAT KI NIGHAON SEY DEKHA JATA HAI. JAB K AURAT KA MASHRAY MAI BUHAT EHM KIRDAR HAI AUR AURAT KEY HUQOOQ KA ISLAM MAI BHI ZIKAR HAI, TU PHER Q IK AURAT APNI MERZI K MUTABIQ APNI ZINDAGI NAHI JEE PAATI.........AZAL SEY HI AURAT HI ZAMANEY K DUKH DARD SEHTI ARAHI HAI.......APNA SAB KUCH KHOO KAR BHI AURAT KO KUCH NAHI MILTA...... HUM SAB KO SOCHNA CHAYE K IK AURAT KO PORA HAQ HAI APNI ZINDAGI JEENEY KA AUR HAR W KAAM KRNEY KA JO WO KARNA CHAHTI HAI......AUR KISI KA KOI HAQ NAHI BANTA K KOI BHI AURAT KO APNI JALI KATI BATON KA NISHANA BANAYE AUR BILAWAJA US PEY KOI TANQEED KAREY......EK AURAT KO PORI AZADI HONI CHAHYE K WO HAR KAM KAR SAKEY....AUR AJJ KAL MARDON K MUQABLAY AURTEN ZIADA KAM KAR RAHI HAI....AUR ZIADA NAM KAMA RAHI HAI.......... AUR KOI BHI KAM HOO AURAT USEY ACHAY TAREEKAY SE NIBHATI HAI........CHAHAY WO US KI GHARELOO ZINDAGI HOO YA WO NOKRI KARTI HOO.......IS LYE AURAT KO KISI SURAT RUSWA NAHI KARNA CHAYE KYUN K AURAT KA IK BUHT EHM KIRDAAR HAI MASHRAY MAI AUR HUM MAI SEY KOI BHI IS BAT BAT SE INKAR NAHI KAR SAKTA.....

It’s Time to improve ourself



Arab Revolution, we have seen what would out goes on Arab World in the behalf of corrupted leader in Arab several countries and we the Pakistani consider that we need too revolution in Pakistan. I saw many of the peoples want imran khan to stand in election, come in government and become the leader, they say  they have  so many expectations with Imran Khan and no doubt he is brilliant in his work and his past promises prove his efforts are not useless.
But I want to ask everybody, is Bhutto and leaders who ruled on Pakistan and passed away were not good as history show, they were good. We can see Pervez Musharaf’s governance , his mind brought hundreds of beneficial changes in Pakistan’s history  but he had to gone and he gone, democracy of Zardari didn’t suit any body and his wrongly politics and policy include high taxes and anything which bring difficulties as he gone for tours on state in a very disturb condition of Pakistan. What it ought to be it’s our own decision and our vote that brought him in constitutions and now he badly ruled on us.
One famous quotations circle today in our society
“ jaisi awam wesa hukmaran”
I mentioned here because we only expecting from others to overcome with profitable changes, why we don’t do this our self???
If our 1 wrong votes takes dark nights toward us, it could be possible that our ONE good work may also bring small revolutions and these changes will not be in small durations.
Why we expecting our leaders for the changes,
If we the nation will strong and literate, none of leader’s needed to do and thinks to bring developments in Country.

QOUMI PARCHAM K EHTRAM SE RUGARDANI!

Piyare hum watano,chan mahino baad august ka mahina shuru hone wala hai or hum sub k dilo mein purey saal se soya huwa pakistani b ani pakistaniyat le k bedar hone wala hai.. 

august k start hote he hum sub apne gali,mehello,universities,schools or gharo wghera ko jhandiyo or qoumi parcham se sajana shuru kardete hain.lekin afsos ki baat yeh hai k jaise he 14 august guzarti hai hamara mulk o qoum k liye jazba or hamare andar ka pakistani b sojata hai. najane wo mohabbat jo hamare dilo mein hamare mulk k liye hai sirf 14 august,6th september,23 march ya phir indo-pak match mein he q bedar hoti hai or baqi dino mein gehri neend soi rehti hai! 

jin jhandiyo or qoumi parcham ko ham khud apne hatho se nihayat he izzat o ehtram se lagate hain or apne gharo,gali,mehello wghera ki zeenat banate hain wo 14 august guzarte he hamare pero tale q rondi jarhi hoti hain,kbhi zameen bos nazar aati hain tou kbi dust bins wghera mein or hum be hiso ki tarha sub kuch dekhte huwe b nazar andaz kardete hain. jis qoumi parcham ko nihayat he izzat o ehtram se balandi pe lehrate hain wo pura saal wahin lehrata rehta hai bas farq itna hota hai k saal guzarne k baad wahan jhanda nhi bal k uski dhajji hoti hai...

watan parasti sirf jhanda lehrane or bari bari baten karne ka naam nhi hai,or na he jhanda balandi par lehrane se watan parasti ka haq ada hota hai bal k us jhande ki sar balandi k liye kaam karna uski hifazat k liye apni jaan tak dedena ye watan parasti kehlati hai. 

hamen chahiye k 14 august guzarte he jhando ko utar k rakhden or jhandiyan lagayen he nhi q k wo toot k zameen pe girti hain.ye chohti chohti baten hain jo hum aj karenge tou hamari aney wali naslen hum se seekhen gi.      

Main Tou Dekhonga!!!

Main tu dekhonga

Main tu dekhonga
Tum bi dekhoge!!!
Tum bi dekhoge 
Jab Roti sasti hogi aur mehngi hogi jaan..
Wo din phir ayega jab aisa hoga Pakistaaaaaaaaan.....


1947 ki mushikalt ke baad, Aaj 65 saal baad jo mene apne mulk apne Pakistan ki Halat dekhi tu har jagah dehshat gardi, Target killing ko Aam dekha syasi Logon ko Aapas me Ilzam tirashi karte aam dekha, aisi jahalat channels ke program pe dekhi, ke apne mulk ke parhe likhe tabqe ko hi jahil hone ka sazawar dekha, dekhe jo program (BNN, Hum sab umeed se hy ) tu apne syasat daano ka mazaq urhte aam dekhe , sab kuch dekh lia is jamhori dor me magar nahi dekha tu sirf apni awam ko sukon o musarat ki halat me na dekha.


Aj humare mulk ki tabahi us waqt se bhi gambher hoti jarhi hai jab humare paas kuch nahi tha aur aj hum jante hain ke Pakistan main kitne wasail , kitni aabshare aur dilkash manazir hai magar sab be faida sabit horahe hai kyonke aik buhat badi chez jis ki kami hai wo humare  istemal ki hai hum aaj  dehshat gardi ki jang mein hi itne piste jarahe hai ke is chaki mai humare mulk ki mashiyat bhi pisti jarahi hai aaj hume nayi ijadat karne ki nahi balke  mulk me sukon ki zarurat zada mehsos malom hoti hai aj logon ke naaro me Roti , kaprha aur makan ke ilawa bi aur naare shamil ho chuke hai jo kisi chez ki mukhalfat me uthte hy mukhalfat  mulk ko dibote syasat dano ki ghair janibdar  policy banane aur amal pera karne ki tasveer banne ja rahi hoti hai ya phir ban chuki hoti hai  agar hum awam apne hosh o hawas me nahi honge tu kaise taraqi karega Pakistan!!!
 ya phir hum is song  ki tarah aik aas lagaye bethe honge ke kabhi tu aisa hoga Pakistan!!!

MAIN SOCHTI HOON K!!

Main sochti hoon k hamara muashra kis taraf ja rha hai,sirf "degree" he taleem ki zamin q samjhi jati hai?acha ikhlaq,taleem k sath sath behtrenn tarbiyat kahan khote ja rhe hain!! hamari society mein ab apne baro or teachers se argue karne ko freedom of speech q kaha jane laga hai?? 

urdu zuban jo k hamari qoumi zuban hai usey parhne walo ko hiqarat ki nazaro se q dekha jane laga hai,q urdu medium se parhne wale students ko DM or LS kaha jata hai! 

hum kehte hain hum bohot modern,well educated,well mannered hogye hain phir q aisa hota hai k aik branded car mein designer cloths pehne betha insaan chips ka wrapper road pe phenkne se pehle aik bar bhi nhi sochta ,kahan chale jate hain uske manners.. 

aj humara pura mulk bijli k taweel buhran se guzar rha hai uske bawajood hum apni galiyo,sarko or gher ki lights din charhne k bawajood band nhi karte.hum government ko criticize tou bohot asani se kardete hain magar hum  kab apne mulk ki taraf apni zimmedariyo ko samjhenge!aik pakistani citizen hone ki hesiyat se pehla qadam uthayen ge! 

main sochti hoon or barha ye sochti hoon k q jab koi hum se hamari identity poochta hai tou hum khud ko punjabi,muhajir,sindhi,shiya,balochi,pathan keh k introduce karwate hain?q nhi kehte k main PAKISTANI hoon. 

q pakistan ko bura kehte rehte hain  jab k isey burai or pasti ki taraf le k jane wale bhi hum log he hain....

PAKISTANI FILM INDUSTRY ZAWAL KA SHIKAR!!

Hamari film industry yani lollywood pichle kayi saalo se ta haal zawal ka shikar hai..jiski baat aksar film producers n directors karte hain magar iski behtaree k liye kaam koi nhi karta.aksar talk shows wghera mein film idustry k bare chehre is zawal k peeche ki khamiya discuss karte nazar  atey hain magar jab bhi unlogo ko films banani hoti hain wo hmari mojuda riwayti filme he banate hain jiska na koi sar hota hai or na peir.. 
hamari filmo mein siwaye behuda gaano,ajeeb qisim k dance or behuda mazaq k ilawa kuch nhi hota.or usko dekhni wali audience bhi phir wesi hoti hain jaisi wo filme.

magar hamari film industry  hamesha se zawal pazeer nhi thi,ek waqt tha jab hamari filmo ki demand itni thi k ajkal bollywood or hollywood movies ki hoti hai.phir achanak wo dour shuru huwa jab hamare film sazo ne family movies banani or subject based movies banani he chohr dee or hmari film industry ka bura waqt shuru hogya. 
ab bhi ye industry taraqqi kar skti hai zarurat sirf is baat ki hai k tanqeed baraye tanqeed k bajaye koi positive step liya jaye or complete family entertaining movies bnayi jayen.
 

AAKHIR KAB TAK!!!!!!!!

Baba uthen na baba,ap mujhse baat q nhi kar rahe?kia ap mujhse naraz hain?apko neend arhi hai tou ap lounge mein aise q sogaye?ap mere school meri performance dekhne bhi nhi aye!main or mama tou apse bohot naraz hain humne socha tha apko strict punishment denge but don't worry baba main mama se kehdoon gi hum apse bilkul naraz nhi honge,mujhe maloom hai ap bohot tha gaye hain na isi liye ap yahan aise sogaye baba ap baat karen na mujhse...... 
5 saal ki eeman apne baba ko uthane unse baat karne ki nakaam koshishen karti jarhi thi kbhi apne aansoo pochti kbi apne baba k maathe par hath pherti or doosri janib uski mama zinda laash bani khari thi jise ye tak hosh nhi tha k apni nanhi bachi ko samjhaye k ap uske naaz nakhreuthane wale uske baba ussey kbhi baat nhi karenge,nanhi eeman ko kuch smjh nhi arha tha k uske itnaa uthane k bawajood b uske baba uth q nhi rahe.akhir usey kaise smjhaya jata k beta tumhare baba ab tumhare laakh uthane,laakh manane k bawajood bhi nhi uthenge q k wo tou lisani bunyaado pe hone wale fasadaat ka shikar hogaye hain,usey kon samjahta k jis waqt wo apne school mein jashan e azadi mana rahi thi,naghme ga rhi thi us waqt is azaad mulk k basio ne apne hum watan or najane kitne hum watano ko sirf lisani buyad par qatal kardia...ye bachi kia bare hoke is mulk k liye kaam karna ya is mulk mein rehna pasand karegi??ye kahani sirf ek eeman ki nhi hai balke is jaise hazaro lakho bacho ki hai jinke waliden or khaas tor pe walid ko lisani bunyado pe qatal kardiya gya hai. 
hamare buzurgo,jawano,bacho ne apni qeemati jano ki qurbaniyan dee'n taake musalmano k liye alehidah watan hasil kiya ja sake unke rehna ka alag thikana ho jahan wo azaadi k sath apni mazhabi iqadar par amal kar saken yaqeen janiye kisi ne b ye mulk sindhiyo,punjabiyo,balochio,pathano ya muhajiro k liye hasil nhi kiya tha ye mulk "musalmano" k liye hasil kia gaya tha tou phr q aj hum apne he bhaiyyo ko qatal kar rhe hain q apni behno k suhag ujar rhe hain q apne bacho ko yateem karne par tule huwe hain aakhir kab tak hum aise he aik doosre ko maarte rahenge?aakhir kab tak sindhi,punjabi,balochi,pathan,muhajir rahenge?aakhir kab hum pakistani bane'n gey!!!!!!! 
       hamare mulk ko iske mukhlis basio ki zarurat hai utho or aagey barho or is larai k khilaf apni awaaz baland karo kehdo k hum na sindhi hain,na punjabi,na muhajir or na pathan balke hum sirf or sirf PAKISTANI hain.

HUM KIS GALI JA RAHE HAIN!!!!!!!!

Kuch dino se meri tabiat bohot bey chain hai,dimagh ajeeb si pareshani mein ghira hai. ye kefiyat us din k baad se hain jab hamari university mein mela laga tha,jis din mela tha main ye soch k gai thi k aj ka din mei zindagi k yadgar tareen dino mein se aik ban jayega or waqai wo din mere yadgar tareen dino mein se aik ban gya aisi yad jo har waqt mere dimagh par chhai rehti hai or mujhe ye sochne pe majboor kar rahi hai k hum yani Pakistani or us se bhi pehle naam nihad MUSALMAN kis gali ja rahe hain!!! 

Mele wale din main as usual subah he university pohanch gaee har taraf rang birange kapro mei malboos hansti khilkhilati larkian nazar arhi theen,aik taraf jhoole rakhe huwe thay or bohot sari cheezo k stalls b lage huwe thay or loud music bhi tha overall it was a perfect mela.wahan se main or meri friend dolmen mall chale gaye n we both enjoyed alot but when we went to the food court i saw in the name of modernity n advancement we are demolishing our Islamic values,our culture n all....dating couples ab har jaga restaurant,parks etc mein nazar atey hain magar wahan mojoud couples ne ikhlaqiyat ki sari huddood o quyood ko jis bedardi se ronda  agr wo manazir unke waliden dekhlete tou shayad sharam se he mar jate ya unlogo ko maar dalte..... 

hum sub kehte hain k taliban ne afghanistan mei islam k naam pe dehshatgardi phela rakhi hai lekin ye sub halaat dekhne k baad mai ye sochne pe majboor hogai hoon k hamare mulk mein waqai islami nifaz ki shadeed zarurat hai chahe uske liye hamein khud ko "dehshatgard " he q na kehelwana pare. 

hum sub apni apni dunya mein magan hain kisi ko is mulk tou door ki baat akhirat tak ka khayal nhi hai,khudara kuch khof akhirat ka he karlo or modernism k naam pe parwan charhne wali fahashi ko roken..hum tou us mazham k perokaar hain jiski riwayaat,tehzeeb misali hain or humne he unvalues ko bari he berehmi se rond dala hai.

HAALAAT E HAAZRA :

Shehr k aangan mein ab jo saaz yeh goonjta hai

Kya yeh hai woh raag jiska khwaab main sochti thi ?

Yeh firqawariat, yeh siasi aur lasani ,

Ban gaye hain jo wajah qatl-e-amn is shehr ka ,

Na koi karta hai khayal ab maa ki ujri goud ka ,

Na hi dharta hai kaan pe koi behn ki woh siskian ,

Koi na kyun samjhata us pujari-e-bandooq ko ?

Ek maa woh bhi thi jis ne tha tumhe paida kia ,

Muntazir hai woh sehr taa'beer-e-khwaab-e-amn ka ,

Kab yeh Muslim hongey mukhlis ? Muntazir mitti meri.

 

AOO, BUHJAY CHIRAGOO KO ROSHAN KAREN !!!


Aziz sahab apni factory se nikaley tu inhey ek phool jaisa bacha zaaro qataar rota nazar aya. Inhoney hath k isharey se un bachay ko apney pass bulaya aur is sey uska naam aur roney ka sabab pocha. Is phool jesey bachay ne jawab dya. Sahab ! mera naam kamran hai, mujhe pharhney ka buhat shook hai, lekin ghar k maali haalaat kharab honay ki waja se mere walidain ney meri pharhayi chorwadi hai, ye keh kar bachay ney hichki li aur dobara zaaro qataar rona shoro kar dya.
                     
Aziz sahab ko ye sab batien sun kar kafi dukh howa, in ki ankhen num hogayi, inhoney ney dil hi dil mai ye tay kar lya k wo is bachay ko zaror pharhwayen gey. Inhoney ney kamran ko apni gaari mai bithaya aur is k sath kamran k ghar gayae. Wahan inhoney kamran k waalid sey bat ki aur kamran ki pharhayi k sarey ikhrajaat bardasht karen gey, is ki taleem ka silsila na khatam kya jaye, saath hi is k walid ko apni factory mai nokri ki paishkash bhi kardi. ye sun kr kamran k waliden buht khush howey.

Aziz sahab ney kamran ko aalaa taleem dilwayi aur pher inhey apni is naiki ja sila buhat achay andaaz mai mila k kamran kamran ek roz doctor ban gaya. Ek aisa doctor jis ki taleem ka chiraag ek waqt mai bujh raha tha, jisey aziz sahab ney roshan kiya . Dosrey alfaaz mai aziz sahab ney kamran ko jahalat key andheron mae ghum hojaney se bacha lya.

Yeh tu the ik kahani k kis tarhan ik ajnabi shaks ney ik aisy bachay ki madad ki jo pharh likh k kuch banna chahta tha, humey is kahani se sabaq hasil karna chahye aur agr hum madad karney k qabil hai tu har us fard ki madad karni chahye jo madad ka haqdaar hai.

hum --- hum kayal kyn nahi


Our creator is just one, ALLAH, so I don't understand that then why do we have different feelings and emotions. ALLAH loves in our hearts then why so many hates in our hearts .from where do we have so many shrewish nature. Why we are so selfish why do every one is just thinking of his own profit if someone do something bad then reaction is worse than that but why don't people realize and accept good advice moreover that if that good advice is against our will we will make lame excuse to proof it wrong why don't we say right or appreciate the deserving one but in fact in this world there are some people who really wants to help others without any interest but selfish people neither keep pace with them nor wants to bring those people forward they just criticize them why don't we promote positively in our society and create tensions and quarrels among people.in history theer are great dictators who because of their selfishness and thieir intrest they bring wars and killed many people.  
so just step a head
Decide that from today, from this very moment, you are leaving negative thinking behind, and starting on the way toward positive thinking and behavior.

 It is never too late to change your attitude and your life.


Wednesday 18 April 2012

Akhir hum he kiyn??





He ordered to kill 11-14 million people, 6 million of them Jewish. 70 million people died in the Second World War. And he was none other than the world famous mass murderer ,HITLER.

 It is estimated that some 35 million people died as a result of WW II, a war directly caused by Hitler; of those 35 million, there were 6 million Jews killed, who were specifically targeted by Hitler because of his racial hatred (HOLOCAUST).

Napoleon is estimated to have been responsible for as many as 2.5 million lives being lost by his action in Napoleonic war

Obama who every week kill our innocent Pakistani in the name of so called “war on terrorism”. 

These are some of the world biggest mass murderers in the history of world

but still we,  The Pakistani are consider terrorist so how are we called terrorist as world have bigger terrorist than Muslims who have painted the world land with blood by killing millions of millions innocent people.why aren't they called terrorist.And they call us Black people animals, Its a shame how these human beings fail to see their own faults.So sad, But what is happening in Palestine now a days since many years which is even saddest of all!!Jews are Killing Children, Women and also ruining our religon then why only we THE MUSLIMS ??? AKHIR HUM HE KIYN???.





Monday 16 April 2012

Weapons Destroy Humanity


Weapons destroy the human race and totally destruct the humanity. The cost of human life were priceless, just a second or a while a minute human lost his life. In a bomb blast many of peoples died and weapons destroy the mass destruction. When weapons were not creates in this world people lived his life very peacefully no body afraid off the bomb blasting now we are living in the modern world and in this world war against terrorism is also continue for this reasons new weapons, instruments were invent and this weapons destroy the human life. Many weapons such as aircraft weapons, pistols, shotguns, battle rifles, machine guns, missiles, rockets, firearms etc take in the part to finished  the world peace or humanity.
Weapons are an important factor in war, but not the decision one, it is man or not materials that counts”
In the war used dangerous weapons. War is the Hell. War is Violent. It is deadly, destructive and wasteful. The larger purpose of war is destruction and in the war used weapons were also destroy the humanity. Humanity totally destroyed in this world because every country are trying to beat another country for the sake of modernization. The most powerful weapon on   earth is the human soul and we should try to save the humanity. 

Sunday 15 April 2012

kya hum apny hatho apni janat nahi kho rhy ????

Lets discuss about some deeds what we are normally doing;
A man is going by motor cycle policeman make him stop instead of showing license to policeman, man give money to policeman than he allow him to go.
In board exams some schools give money to higher authorities to maintain good reputation of their school while islam says that bribe giver and taker both belong to hell.
Allah kept heaven in the foot of mother while our old age homes and edhi centers are full of parents whose children threw them out of their life and homes.
Honesty has left behind from our lives without cheating our any work isn't complete. without mixing water in milk milkman don't sell, shopkeeper don't weight properly, everyone is running in the race of getting money
even for winning this race he has to go on wrong way.
Brother is thirsty for his brother blood even Islam give the lesson to care for animals but today we are not doing care for our brother so how for animals.....
Today a brother is killing his brother, lier is greater then truther , injustice is on peak, money is more important than human life, volgurness is spreading while shame and modesty are becoming less etc etc. While our religion give lesson of brotherhood, truthness, honesty, humanity and code of morality, neatness etc etc but we all are not following the teachings of Holy Prophet (P.B.U.H) so aren't we are losing our paradise by ourselves?? 
Just start thinking about these small small things because at the day of judgement our small neki can save us from the fire of hell.

















Wednesday 11 April 2012

Journey of life is not in our HAND


After leaving my van, due to aggressive schedule and about 4 months, I used to travel in a bus. When I was leaving my van I was so much tensed that what happen If I will be in danger as I live in the city of Pakistan where situation sudden go in critics and people faced so many problems in that cases these are all reasons my parents took me in the van but I need I have to take a bold step.
But at last I left and now I am free to manage my time according to what I want. I wake up in a time and I am not tensed about limited time and my journey of bus made me fresh every day, people say that they are facing problems in bus but I am enjoying in travelling because of new faces, new experiences that happens in bus teach me how to deal with it and there is a lot of fun when I see some poetry, children, new unties and their funny attitude in buses which effect more on my whole day because I loved it and the wordings drawn me a beautiful day.
So now I think people being afraid of such things and give up to change their routine although life is not in their own hand.
But they might depressed by seen such people only who faced some accidents in their life but life is not an accident it self it’s our fate that bring us in different turns.
So never being of afraid of by taking some turns give Life a chance to show Something new something CHANGED.

IMPORTANCE OF GREETING SALAM


When two Muslim meet whether they are children, women or men  they greet each other. It’s written in hadith that a man came to our prophet (s) and said peace be upon him. Then he sat down. The Prophet (s) returned his greetings and said ten. Another person came and said peace on him. The Prophet (s) said twenty. Another person came and said peace, mercy and blessings of ALLAH on him and the Prophet (s) said thirty.

  This shows that when the first man greeted Prophet(s) and sent peace be upon him, he got ten virtues from ALLAH. The second person came and sent peace and mercy upon him and got twenty virtues from ALLAH. The third person came and sent peace, mercy and blessings upon him and got thirty virtues from ALLAH.

“Allah, the Sovereign, the Most Holy, the Peace, prescribed that the greeting among the people of Islam should be ‘ASSALAM O ALAIKUM’, which is better than all the greetings of other nations which include impossible ideas or lies, such as saying, ‘May you live for a thousand years, narrated from ‘Abdul-Allah ibn ‘Umar that a man asked the Messenger of Allah (peace and blessings of Allah be upon him): “What is the best thing in Islam?” He said, “Feeding others and giving the greeting of salaam to those whom you know and those whom you do not know.”
Its up to ALLAH whether he will gives the other person peace, mercy and Blessings or not, but its true that, he will give it to the person who greeted first. who greets first is nearest to ALLAH.



LIFE WITH OUT A HOLIDAY


On Holiday I can watch my favorite T.V sows till late night and can call to my friends and have fun.Wow!No tension of assignment .
What a great day!
These are the feelings of every person whether young or old about Sunday, ”A Holiday”. Although its only a very short break after along,tiresome week,but still this day possesses its own importance.Its he only time when one can escape from the routine work and relax.In fact,this word “Holiday” is the most soothing impression for a person to hear. But suppose if there were no holidays at all.Would our lives have been easy as today? I don't think so and I am sure none of will disagree with me.
Our lives would have bored and we won't be able to advance in technology,producing human genes,and exploring the moon. Holidays are very essential for all of us in this world. People who do not take any break from work at all ,end up with some mental problems usually resulting in suicide. So holiday are not just a time to hang out with friends,but also a very essential human necessity.

Sunday 8 April 2012

Bechari Hindi




“Are tmne suna us larki ko chinees ati hai” “are tmari english to bht he zarbardast hai” “ mujhe tm pe trust hai”


Ye kuch tarifi jumale hain jo hm ksi ko koi apni urdu k elawa dusri zuban sunte ya bolte hue dekhte hain. Hm kitna kush hote hain jb ksi ko bht si zuban bolni ati hon aur aksr hm un se dusri zuban ko sekne ko b bht tarji dete hain. Magar jab wohi admi ye kehe


“ muhe tm pe wiswas(bharosa) hai


to foran us ko tok dete hain aur kehte hain k star plus ka nasha chara hua hai is pe to. Akhair kyn?kyn? hm english chineese sakne ko bht achi nazar se dekhte hain aur  hindi ko srf star plus ki zuabn ki had tk rakha hai. Hindi b to ek zuban hai is ko sekhne ma kia hai?urdu ma kitne farsi lafz hain jo shayad he kisi ko pta ho.humare qomi tarane ma sirf ek lafz urdu ka hai aur baqi sub farsi ke Theek hai mana k hindi ko hum indai anr pakistan k talukat ki waja se acha ni samj te lekin english b to hmare islam k dushman esayon ki zuban hai magr phr bi humare lia wo sarori hai yahan tak k hum na is english zuban k lia “engliah language centers ”  b khol lie hain.hum bare asani se ye kah te hai “ hamare mulk ka system kharab hogay hai”. Ma ye hi samjti hu k jb farsi ma urdu n urdu ma english k lafz asakte hain to phr hindi k kyn ni ??











akhir kyun???



Thursday 5 April 2012

BRIDES...

3.Vietnamese bride
4.British wedding dress

Marriage….an important and essential factor in everybody’s life. It is comman in every religion, marriages are arranged in every religion in this world.They are arranged in accordance of their norms and values. GROOM AND BRIDE are two people that are comman in marriage throughout the world.
Every country and religion celebretes their feasts according to their ideologies, same goes with marriages as well.
Following are some of the brides of different countries of the world.
1.


Bhutan's traditional wedding dress

1.Bhutan bride

  

2.Indonesian bride



3.Vietnamese bride











4.British bride









5.Korean traditional wedding dress
5.Korean bride and groom

6. Japanese wedding dress

6.Japanese bride

 7.Mongolian wedding dress 8.Morocco bride

7.Mongolian bride and 8. Morocco bride
9.
                                                          9.   Indian bride


11. 11. Pakistani bride
 12. 12.Chinese bride

These were some of the brides of different countries of the world. They have different outfits, different jewellery and different norms but one thing they all have comman in them and that is the feeling to leave the home of their own parents where they spent their precious childhood. But at the end of the day it is something that is universal tnd every girl has to come on this stage.