Friday 9 March 2012

HAMARA MUSTAQBIL,HAMARA KAHAN ???

"You must be Doctor"
"You must be Engineer"
Thats are the professions which most of the parents demand from their children. From very early age parents remind their child to become doctor or engineer again n again. After intermediate if they fail to acheive their target then parents force them to continue science faculty even they are interested or not ...
Few days ago, I was travelling in bus where I met girl,she was doing BS in physics even she was not interested in it but her father forced her to do BS in physics he said that you are girl and science faculty is best for you. She told me that she faces too much hurdles because she is not willing to do BS in physics but she had to do this due to which she couldn't give her best in this field.
Today  when we look towards our society, we are completely Independent on our decisions. If we want new dress, shoes, cell phones all are according to our interest so why we compromise on study, on our future ??? Many children don't choose their subjects according to their interest, they kill their wishes infront of their parents demand in the result of that they suffer from hurdles, they can't study well. They wouldn't show their best in their field because their mind and heart both move in different directions.
So STEP A HEAD & select your subject according to your interest otherwise you wont acheive your desire goals and never be succeed in life. Remember ones you get success you will automatically make your parents feel proud on yourself so don't feel ashame to tell your own desire infront of your parents desire. 
  

Thursday 8 March 2012

Happily Ever After


When I think about this words, I internally feel a sound of happiness in me and a thought that “even faces a lot of problems, difficulties in our ways but in the end we got success, hide in this word as a sign that we get our designation in the end truly” , although we know that life is not a bed of roses and the difficulties actually we are cursing and complaining to them learning us the ways of living that make us differ to each other rather good or bad experiences that  make our life really interesting too.

We all know ups and downs in life are always part of life. So why we complain are we forget that we are human being not animal , I wrote this because I want to mentioned that only a person who faces difficulties and learn from them is a man of his name ever after , we see films , dramas, Cartoons and animated movies Like Cinderella, Barbie, sleeping beauty, Shrek etc etc  that attract us toward them what was the reason of this attraction actually it was a story , a theme which give us moral , an experience and side by side so much fun when it began it had some fun and then problems but what happens in the end a happy perfect ending, but it only happens when it starts from any difficulty or some one  facing  it hardly, steadily got a real perfect end in result ,
So guys I want you to invite difficulty, think beyond the line and enjoy your life .

Whatever happens, not complain but show your strength , instead of saying can I do this ? say!
I can face it,
And truly at the end you will find your own perfect hero/heroine film with full of spicy fun, memories. 

Monday 5 March 2012

DUNIYA EK KHEEL TAMASHA

"JANE KB HOGEN KM IS DUNIYA K GHAM
JENE WOLO PE SADA HOE ZULM-O-SITAM"

Duniya ek kheel tamasha bn kr reh gea hai yahan agar logo ka majmouan ek gird jama ho to zara dheken is bher me jakr ap ko boht se zalim log milen gey jo nihayt  be dardi se janwaro ki trhan 2 be gunnah larko ko mar rahe honge in se poche bagair k in ka jurm kia hai akhar kis jurm ki itni sangeen saza un ko di gae.GE me yahan sailkot me marne wale 2 bhai ki bt kr rahi hun k kis trhan janwaro jesa in ke sath sooluk kia gaya,kya jurm tha in ka?knsa gunah kya tha inhone?akhr kyun wahan logo ki bherr sirf tamasha dhek rahi the?kitne log the wahan jo rash laga kr khare the aur khof-e-KHUDA ko bhula kr wahan sirf tamasha dhek rahe the.Insan khud garz hai wo sirf apne bare me sochta hai apna daman bachane k leye dosro ki jan khatre me dalta hai.

Insan agr sarak par chal raha hai aur achank agar koi gaddi ise mar de aur is ke sath koi hadsa ho jata hai to wo insan wahen sarak par para rehta hai log is ke ird gird jama to hojate hai par koi age bhar kr usey fori tor par haspatal nahi le kr jata yahan tk ke jis shaks ki gaddi se ye hadsa howa hota hai wo sb se phele bhag jata hai.Kya insan ki jan ki keemat bus itni si reh gae hai,akhir kyun hamara zameer mar gaya hai.Hum is duniya me tamash ben bn kr reh gae hai.Yahan to aksar target killing me na jane kitne be gunnah log mar diye jate hai aur kbi to insan ko zinda jala diya jata hai to kbi kisi ko korro ki saza hoti hai;log dhekte to hai ye sb lekin ek tamashe ki trhan!

Insan kyun akhr is duniya me ane ka maksad  bohl gaya hai wo kyun nahi sochta k usay b akhir ek din KHUDA ki adalat me paish hona hai yahan ki zindagi to aarzi hai akhrat ki zindagi daaimi hai to insan kyun akhir duniya me reh kr apni akhrat ko bohl gaya hai.Kya wakae me hamare dilo me se KHUDA ka khof kahen kho kr rehgaya hai?kya wakae me hamara zameer mar gaya hai?aj duniya sirf ek kheel tamasha  bn kr reh gae hai yahan apko tamasha dhekne wale boht mile gen par madad krne wala koi nahi.

Be gunnah logo par zulm-o-sitam kiye jarahen hai lekin log sirf tamasha dhek rahe hai,hamen apni soch apne zameer ko masbout banana hoga warna hum log b zulm krne wale logo me shamil honge.kyun k zulm krne wala aur zulm sehne wala dono brabr hai.

Bas bijli kay aik bill kay aewaz !!


“mera naam salma hai, shohar dukaandaar tha. Aik accident mein ALLAH ko pyara hogaya. Zindagi mein pehli martaba police ka saamna hoa to mallom hoa police kya hoti hai, insaaf kya hota hai aur adal kise kehte hen. Nashay mein mast aik ameer zaday ne mere shohar ko kuchal diya, mein mazloom thi aur wo zalim, mein faryadi thi aur wo mera mulzim lekin police usay thanay mein kursi bhi deti thi aur chai bhi jabkay mujhay sirf gandi galiyan aur hawas se labraiz nazrain hi milti thin. Mein apna faisla ALLAH par chorr kar ghar beth gai, mujhay nahi maloom mere case ka kiya bana!!!

Above writing is a part of a letter that Javaid Chaudhary received in earlier days of his column writing. SALMA ( obviously an imaginary name), I don’t know who is she , where is she now, is she alive or not but I make this severe issue my today’s blog just because there are so many women in all around the world especially in PAKISTAN, that are suffering and getting harrased. These are the women that choose wrong ways to survive then. It is not their own wish but the circumstances that compel them to choose that ways. Let’s read the letter and then decide, WHO IS THE REAL CULPRIT OF SALMA!

mera shohar aik beta nishani mein chorr gaya tha mein usay paalnay k lye ghar ki chezen bechti ik ik kar kay sab kuch bik gaya to socha zindagi ki gari ko dhakka dene k lye koi mulazmat krlu. Aik bohat baray afsar k ghar safai suthrai ka kaam mil gaya. Aik rooz afsar k biwi bachay shaadi mein shirkat k lye London chale gaye, ghar akela reh gaya. Mein ne kaam par jana chorr diya. Aik mahinay baad bijli ka bill agaya, bill bohat ziyada tha. Mere pas bill adaa krne kay paisay nahi thay. Mein kaam walay ghar gai to pata chala begum sahiba garmion ki chuttiyan guzaar kar hi wapas aengi. Mein nay agay peechay noukri talaash ki , na mili. Mein mukhaiyar afraad k paas gai, zakaat kamaitiyon k chairmenokay darwazay khatkae lekin kisi ne meri madad na ki. Mere ghar ka meter kat gaya garmi bohat thi mera beta garmi k maray chekhta tha. Mein pareshan hokar isi afsar ke ghar chali gai, isnay meri arz sun kar kaha, ab tum aa hi gai ho to mera karma saaf karti jao aur paisay bhi leti jana. Mein iskay kamray mein chali gai jaha isnay mere sath wohi sulook kiya jo is mulk k aksar haraam khor bebas aur majboor larkio se karte hen mein cheekhti rahi magar meri awaaz sound proof kamray se bahar nahi gai. Us shaam ghar loti to mere hath mein bill kay paisay  thay, mein ne socha thanay jaakar apnay upar guzarnay wali qiyamat ki shikayat krulekin phir socha jo police mere shohar kay qatil ko saza na day ski wo meri izzat ka kiya khaak badla degi. Aglay rooz m ne bijli ka bill ada kiya , bijli bahaal hogai kekin is kay baad mein afsaroon, sarmaya daroon, jagir daroon aur siyasat daano ki jageer ban gai.
chand paiso ko aaiwaz jo meri zrorat thay , jinhay mein halaal tareekay se kamana chahti thi wo is duniya k chand be zameer logo nay halaal na rhne diye aaj mere pas itnay paisay hn k din raat sari battiyan jalati hu aur apnay baity ko kehti hu ab is ghar mein kabhi bijli nhe kategi.
mein apnay betay se kehti hu jab mein maru to mere saath apnay baap ki F.I.R, mere pehlay boss ki tasveer aur bijli ka bill bhi dafna dena k jab apnay rabb kay huzoor paish hu to ye sara samaan gawahi bana kar paish krsku mein masoom hu bas teri duniya k ba ikhtiyar logo nay mujhe masom na rhny diya. Mein bhook kaat sakti thi, mein bewgi bhi kaat leti lekin mein WAPDA kay bilo say na larr saki…..