Friday, 24 February 2012

AUR ABB.....PAANI MAI DOOBTI BINT-E-HAWWA !!!




 Qudrati aafaat mai ziada nuqsaan khawateen ka hi hota hai......

 

 
Yeh masoom bachiyaan, jinhe abhi shayad gharhelo zimedariyon k mayine bhi maloom nahi, sir se kisi bojh ki tarhan utar phenki jati hain.....Punjab mai sailaab se mutasir hone wale elakon mai imdaadi kaam karne wali ek gair sarkaari tanzeem ne dawa kya hai k pichle saal k sailaab k bad, sobay k sailaab zada elakon mai munasib imdaad na milne ki waja se kam umar mai larkiyon ki shadi ki sharah mai 20 fisad izafa howa ha, kam umar mai shadiyaan phele bhi ki jati thi magr sailaab k bad kam umar mai ki jane wale shadiyon mai 20 fisad tak izafa howa hai. Sailaab k marey ye log apni maali bad haali se tang akar apni betiyon ki shadiyaan kam umar mai kar dete hain, jo umar larkiyon k khel kod aur pharhne likhne ki hoti hai us mai un ki shadi kar di jati hai aur ik bhari bharkam zimedari in k sir thoop di jati hain, agr hukumat apni zimedari ko samajti aur bar waqt sailaab mutaasireen ki maali madad kardeti, tu shayad log apni kam umar betiyon ko yun kisi bojh ki tarhaan sir se na utaar phenkte.

 
Khawateen k hawaley se hamaray mashray mai intehayi imteyazi sulook rawaa rakha jata hai, maslan taaleemi shubay ko hi dekh lijye, Pakistan mai 45 fisad larkiyan bunyadi taleem hasil nahi kar patin, hum saya mulk Bharat mai ye tadaad 30 fisad hai. Aur abb aalmi satha per ye tasleem kar lya gaya hai k musami tabdeeliyon aur in k nateejay mai aney wali qudraati aafaat k asaraat khawateen per ziada shiddat se runuma hote hain, musami tabdeeliyon aur khusosaan shadeed musamoo maslan garmi ki shiddat, khushk saali, tufaano aur sailabon ki surat mai khawateen, hamesha mardon k muqabley mai ziada mutasir hoti hain aur is k lye tarakki yaafta ya tarakki pazeer mumalik mai koi tafawat nahi. Is ka saboot saal 2005 mai aney wala tsunami hai jis mai halaak hone walon mai 75 fisad khawateen thee. 

 Kehne ko tu hum ik azaad mulk mai rehte hain magar ye choti choti khamiyaan keh len ayaa humari naa ehli jo hum in halaat se kuch sabaq hasil nahi karte or kabhi bhi aisi surat e haal se nimatne k lye iqdamaat nahi karte... iqdamaat kya hum tu bigri howi cheez ko dobara sahi karne ki koshish tak nahi karte...Pakistan mai aney wale ye pe dar pe sailabon, tufanon, in qudrati aafat se humey kuch sekhna hoga. Musami tabdeeliyon ko zameeni haqaiq ki tarhan tasleem karna hoga aur is hawaley se tayar ki janay wali hikmat e amli mai khawateen aur in k masaail ko bhi paish e nazar rakhna hoga, tab hi humara aney wala kal ''Ajj'' se mukhtalif or acha hosake gaa .....












4 comments: