Friday, 30 March 2012



Can you just imagine your existence in this universe??
If we look at the sky at the night we can observe millions of stars and other objects perched in space but what we just see only a tiny part of this gigantic universe no one knows whether it has end or is an endless the mystery of this universe has always been fascinated all the time, that our universe was originated from a big bang. ok from now just for some minutes imagine on a spacecraft and let's do a ride of this gigantic universe. There are up to billions and trillions of galaxies in this whole and observer universe from which just 170 billion galaxies so far have been discovered (may be more than this as every day galaxies ,stars are been discovered) our solar system is one of these discovered galaxies. Moons,stars, asteroids, comets as well as sun followed by the 9 planets mercury, Venus, earth, mars, Jupiter, Saturn, Uranus, Neptune & Pluto are there. Earth is our dear planet which have 7 countinents , oceans, mountains and many more. Asia is one of the7 continent & Pakistan is one of 48 Asian counties. Pakistan has 4 provinces sindh is one of these which is divide into many divisions and districts. And finally we enter in to our beloved city Karachi. Karachi it has so many divisions but we are here in northnazimabad and this is not the end but we go into more depth nothnazimabad have so many lanes streets houses from which one of these is ours and  around us there so many human being, other non living creatures from there we are sitting and trying to imagine this gigantic universe.  
if we go through this so we will realize that in this giant universe where do we exist ?? we are just a tiny part of this universe. 

Thursday, 29 March 2012

OR PHR ROSHNIO KA SHEHR TAREEKI MAI GUM






Karachi jo k roshnio k shehr k naam se jana jata hai aj yahan hr janib aag ki roshni dikhae deti hai, guzishta chand salo se is shehr ki roshni kahin gum hoti dikhae deti hai.. Jahan bazaar rat der tk khule rehty thy wahin ab gharo k istemal k liye b bijli ki qillat hai, jahan rat der tk chehl pehl rehti thi wahi galiya ab weraan dikhae deti hn, sarkay sunsaan dikhae deti hain...
Awaam kabhi bijli k liye tou kbhi gas k liye pareshan, hr roz kahin na kahin apne haq k liye ehtijaaj jari mgr inka koi pursan e haal nhi, huqumat apni sargarmio mai mashgul sb kch janty hoay b ksi behtri k liye koi iqdamat nahii..Bechari awaam tang aa k ehtijaj mai itni gum hojati hai k apna he nuqsan kr bethti hai, kbhi sarko pe tyre jalaye jatay hn, tou kbhi puri puri gariya mgr in tamam mai nuqsan kis ka hota ? hai sirf awaam ka..
Ye tamam masael abhi chal he rahay thy k 2 din qabl ak syasi karkun ko maar diya gaya dekhty he dekhty halaat bilkul badl gaye talemi idaray band krwa diye gaye sarko se gariya gayeb hogae or jo gariya thi b unko nazr e aatish kr diya gaya kae be gunaah log maray gaye kae logo ki gariya jalae gae dekhty he dekhty pura shehr hangamo ki girift mai agya sarkain sunsaan hogae log apne gharo mai mehfuz hogaye bari mushkil se ye din guzra he tha k dusre din dusri jamat k karkun ko maar diya gaya us k bad phr wahi sb kch hua or ak bar phr shehr weraan hogya.. Ab dekhye in 2 baray logo ki waja se kitne begunnah masum log maray gaye, kitne gharo ka sukun gaarat kiya gaya, kitne hanste khelty ghr ujaray gaye Kya yahi hmara insaf hai k apni jamat k ak fard k liye kae logo ki zindagi barbad krdi jaye??
Wo log jo k awaam k tahafuz ka dawa krty hn unhi logo ki badolat mulk ka amn o amaan khtm horha hai.. masum lgo ki jaanay ja rhi hain.. hr ksi k dil mai khof o hiraas tari hai .. roz k kamanay walay k chulhay khali.. In tamam tar masael k bad akhir mai yahi dua hai k ALLAH TAALA hm sb ko apne hifzo amaan mai rakhe or ab tk jo hoa so hoa mgr ainda hm or hmara mulk dono mehfuz rahen in tamam tar afaat se.. AMEEN 

Tuesday, 27 March 2012

SHEHR-E-QUAID

Aj jo horaha hai Shehr-e-Quaid me ye nea bat nahi hai Shehr-e-Quaid me aman zyada dair tak barkarar nahi reh sakta.Aj bhi karachi pora din jalta raha sarrken soonsan,veeran,dukanee bandh,log gahroo me mehsoor ho kar reh gaye pora din jala-o-gheir najane kitni gadiyan nazar-e-aatish aur na jane kitne log apni jano se hath doh bhete.Lekin abhi tak hukumat ki taraf se koi notice nahi liya gaya,aj ka insan sirf pathar ka ban kr rehgaya hai aur in pathar kay logo par ab koi asar nahi hota,kyun kay hum bhi is mahool kay aadi ho chukay hai.Aj ka insan apni jan apni hatheli mein lekr ghoomta hai ghar se nikalne wale insan ko ye pata nahi hota kay wo wapis ghar pohanchay ga bhi ya nahi.


Ye koi ek masla nahi jo Shehr-e-Quaid me aj ronuma howa hai balkay najane kitne aur maslay hai jin ka samna aj ka insan kar raha hai.Loadsheeding,Corruption,Target Killing,Mehngai,Bayrozgari aur na jane kitne maslay hai jis ka insan aadi hogaya hai.Karobar kay liye koi insan bahr jata hai to wahan machinay bandh pari hai aur agar ghar ata hai to pankhey bandh abi itni garmiyan ayi bhi nahi the kay loadsheeding me mazeed izafa hogaya.Shehr-e-Quaid jo roshniyun ka shehr kehlata hai wo aj ki rat sanato andheeroo aur tarikhyun me koh gaya hai.


Hamaray mulk ko hamaray shehr ko aur hamari qoum ko kisi aesay massiha ki rehnuma ki talash hai jo is quom ki halat badal sakay.Aur Quaid ka shehr phr say roshan hojaye.Pohl murjah gae hai aur quom ka mustakbil aj halaat say tang akar mout ko galay laga raha hai.Hamen halaat ka samna boht datt k karna hai kyun kay aj ka suraj dobay ga to kal ek nea roshni ki kiran lekar ayega.

23 March 1940, Qaraardad e Pakistan!!!



Pakistan ki tareekh ka yaadgaar aur sab se ehm tareen din 23 March 1940 ka din hai. Yeh March k maheney ki wo jagmagati tareekh hai jis din Qaraardad e Pakistan manzoor howi aur tamaan musalmano ko un ka asal asasa milne ki naveed sunayi gayi. Asasa wo khubsoorat lafz hai jis k maine be had wasi hain, ye rohani or maddi dono surtoon mai mil sakta hai, rupay, paise saaz o samaan, riwayaat aur riwaaj bhi asasa hosaktey hain, aur hume apna asasa ek alheda mulk Pakistan ki shakal mai mila. 23 March, 1940 azadi ki jido jehad mai ek sangey meel hai, is din musalmano k lye ek alheda watan ki qaraardaad manzoor ki gayi, aur dushmano ki qaid se azaad kya gaya. Pakistan ka hum ko milna humari zindagi mai buht ehmiat ka hamis hai, jis per hum sub ko fakhar karna chahye.

Pakistan humey buhat si qurbaniyaan dey kar naseeb howa magar ye ehm tareen din hum apni hi masroofiaat bharey kamoon mai srif kar dete hain, hum ko is bat ka zara sa andaaza nahi hai k ye asasa ye mulk Pakistan hum ko kin kin mushkilaat k bad naseeb howa hai, humarey liye 23 March ka din mehaiz ek chutti ka din se ziada koi ehemiat nahi rakhta, bs hum ye ehm tareen din wohi sotay uthtay guzaar detey hain. Koi tv show dekh lya ya ghar sey bahir kisi sair o tafreeh ko chalay gaye is sey ziada aur kuch nahi, hum awaam mai yehe kami hai k hum is roshan din mai chupay jazbay ki chamak pehchaan na sakey agar aisa hota tu ajj hum kahan se kahan hotey, hum sab ko ye bat samajni chahye k hum ko yeh mulk jin mushkilaat ka saamna aur azeem janon ki qurbani k bad mila hai is ki zimedaari abb hum per hai aur mashray aur mulk ki tarakki mai sab sey ehm kirdaar milk mai rehne wali awaam ka hota hai, tu hum sab ko apni zimedaari ko samajte howey apne mulk Pakistan k lye, us ki tarakki aur baqa k lye hamesha koshaaa rehna chahye,  takay humara mulk ziada se ziada tarakki kar sakay.