Pakistan ki tareekh ka yaadgaar aur sab se ehm tareen din 23 March 1940 ka din hai. Yeh March k maheney ki wo jagmagati tareekh hai jis din Qaraardad e Pakistan manzoor howi aur tamaan musalmano ko un ka asal asasa milne ki naveed sunayi gayi. Asasa wo khubsoorat lafz hai jis k maine be had wasi hain, ye rohani or maddi dono surtoon mai mil sakta hai, rupay, paise saaz o samaan, riwayaat aur riwaaj bhi asasa hosaktey hain, aur hume apna asasa ek alheda mulk Pakistan ki shakal mai mila. 23 March, 1940 azadi ki jido jehad mai ek sangey meel hai, is din musalmano k lye ek alheda watan ki qaraardaad manzoor ki gayi, aur dushmano ki qaid se azaad kya gaya. Pakistan ka hum ko milna humari zindagi mai buht ehmiat ka hamis hai, jis per hum sub ko fakhar karna chahye.
Pakistan humey buhat si qurbaniyaan dey kar naseeb howa magar ye ehm tareen din hum apni hi masroofiaat bharey kamoon mai srif kar dete hain, hum ko is bat ka zara sa andaaza nahi hai k ye asasa ye mulk Pakistan hum ko kin kin mushkilaat k bad naseeb howa hai, humarey liye 23 March ka din mehaiz ek chutti ka din se ziada koi ehemiat nahi rakhta, bs hum ye ehm tareen din wohi sotay uthtay guzaar detey hain. Koi tv show dekh lya ya ghar sey bahir kisi sair o tafreeh ko chalay gaye is sey ziada aur kuch nahi, hum awaam mai yehe kami hai k hum is roshan din mai chupay jazbay ki chamak pehchaan na sakey agar aisa hota tu ajj hum kahan se kahan hotey, hum sab ko ye bat samajni chahye k hum ko yeh mulk jin mushkilaat ka saamna aur azeem janon ki qurbani k bad mila hai is ki zimedaari abb hum per hai aur mashray aur mulk ki tarakki mai sab sey ehm kirdaar milk mai rehne wali awaam ka hota hai, tu hum sab ko apni zimedaari ko samajte howey apne mulk Pakistan k lye, us ki tarakki aur baqa k lye hamesha koshaaa rehna chahye, takay humara mulk ziada se ziada tarakki kar sakay.
aameeeeen
ReplyDeleteaameen. aur bht afsos k sath ye kehna para hai k ab to log 23 march ki history b bholte jare hain
ReplyDeleteameen.. urooj thek kaha history bhulty kya ja rhy hn hm khud apni history ko le k kch confuse dikhae dety hn.
ReplyDelete