Aj jo horaha hai Shehr-e-Quaid me ye nea bat nahi hai Shehr-e-Quaid me aman zyada dair tak barkarar nahi reh sakta.Aj bhi karachi pora din jalta raha sarrken soonsan,veeran,dukanee bandh,log gahroo me mehsoor ho kar reh gaye pora din jala-o-gheir najane kitni gadiyan nazar-e-aatish aur na jane kitne log apni jano se hath doh bhete.Lekin abhi tak hukumat ki taraf se koi notice nahi liya gaya,aj ka insan sirf pathar ka ban kr rehgaya hai aur in pathar kay logo par ab koi asar nahi hota,kyun kay hum bhi is mahool kay aadi ho chukay hai.Aj ka insan apni jan apni hatheli mein lekr ghoomta hai ghar se nikalne wale insan ko ye pata nahi hota kay wo wapis ghar pohanchay ga bhi ya nahi.
Ye koi ek masla nahi jo Shehr-e-Quaid me aj ronuma howa hai balkay najane kitne aur maslay hai jin ka samna aj ka insan kar raha hai.Loadsheeding,Corruption,Target Killing,Mehngai,Bayrozgari aur na jane kitne maslay hai jis ka insan aadi hogaya hai.Karobar kay liye koi insan bahr jata hai to wahan machinay bandh pari hai aur agar ghar ata hai to pankhey bandh abi itni garmiyan ayi bhi nahi the kay loadsheeding me mazeed izafa hogaya.Shehr-e-Quaid jo roshniyun ka shehr kehlata hai wo aj ki rat sanato andheeroo aur tarikhyun me koh gaya hai.
Hamaray mulk ko hamaray shehr ko aur hamari qoum ko kisi aesay massiha ki rehnuma ki talash hai jo is quom ki halat badal sakay.Aur Quaid ka shehr phr say roshan hojaye.Pohl murjah gae hai aur quom ka mustakbil aj halaat say tang akar mout ko galay laga raha hai.Hamen halaat ka samna boht datt k karna hai kyun kay aj ka suraj dobay ga to kal ek nea roshni ki kiran lekar ayega.

such dua hai aj ka sooraj doobay to kal aman aur khushi ka paigham lekar tuloo ho...aameen
ReplyDeletehan hm ko in problems ko solve krne k lia ab khud kuch krna hoga
ReplyDelete