Karachi jo k roshnio k shehr k naam se jana jata hai aj yahan hr janib aag ki roshni dikhae deti hai, guzishta chand salo se is shehr ki roshni kahin gum hoti dikhae deti hai.. Jahan bazaar rat der tk khule rehty thy wahin ab gharo k istemal k liye b bijli ki qillat hai, jahan rat der tk chehl pehl rehti thi wahi galiya ab weraan dikhae deti hn, sarkay sunsaan dikhae deti hain...
Awaam kabhi bijli k liye tou kbhi gas k liye pareshan, hr roz kahin na kahin apne haq k liye ehtijaaj jari mgr inka koi pursan e haal nhi, huqumat apni sargarmio mai mashgul sb kch janty hoay b ksi behtri k liye koi iqdamat nahii..Bechari awaam tang aa k ehtijaj mai itni gum hojati hai k apna he nuqsan kr bethti hai, kbhi sarko pe tyre jalaye jatay hn, tou kbhi puri puri gariya mgr in tamam mai nuqsan kis ka hota ? hai sirf awaam ka..
Ye tamam masael abhi chal he rahay thy k 2 din qabl ak syasi karkun ko maar diya gaya dekhty he dekhty halaat bilkul badl gaye talemi idaray band krwa diye gaye sarko se gariya gayeb hogae or jo gariya thi b unko nazr e aatish kr diya gaya kae be gunaah log maray gaye kae logo ki gariya jalae gae dekhty he dekhty pura shehr hangamo ki girift mai agya sarkain sunsaan hogae log apne gharo mai mehfuz hogaye bari mushkil se ye din guzra he tha k dusre din dusri jamat k karkun ko maar diya gaya us k bad phr wahi sb kch hua or ak bar phr shehr weraan hogya.. Ab dekhye in 2 baray logo ki waja se kitne begunnah masum log maray gaye, kitne gharo ka sukun gaarat kiya gaya, kitne hanste khelty ghr ujaray gaye Kya yahi hmara insaf hai k apni jamat k ak fard k liye kae logo ki zindagi barbad krdi jaye??
Wo log jo k awaam k tahafuz ka dawa krty hn unhi logo ki badolat mulk ka amn o amaan khtm horha hai.. masum lgo ki jaanay ja rhi hain.. hr ksi k dil mai khof o hiraas tari hai .. roz k kamanay walay k chulhay khali.. In tamam tar masael k bad akhir mai yahi dua hai k ALLAH TAALA hm sb ko apne hifzo amaan mai rakhe or ab tk jo hoa so hoa mgr ainda hm or hmara mulk dono mehfuz rahen in tamam tar afaat se.. AMEEN
ameen... really hamaray shehar aur hamaray pakistan buri nazar khari hai, hamen ache hukumraano ki zarorat hai...
ReplyDeletevery nice anum ali zakir n hm ko pehle khud sudharna hoga bijli chori krne wale b to hm he hain na anr hukumran b hm he ma se ye roshnio ke sher ko hmne he loadsheeding ka sher banaya hai
ReplyDeletenice
ReplyDeletekash k hamara mulk ek bar phr asy roshni ka shahar banjae