Saturday, 18 February 2012

KOSHISH KARNE WALO'N KI HAAR NHI HOTI

"Kuch nahi hosakta is mulk ka.....is mulk mein baa salahiat logon ki na koi jaga hai aur na is mulk ke logon ko in ki qadar hai.....Itne saal parhaayi karo, parhayi par paissa kharch karo, raat ki neend aur din ka chain haram karo aur akhir mein ek adad noukri paane ke liye jootiyan ghiste raho...hum se bhale to wohi log hain jo inter k baad kaam seekh kar noukri kar lete hain kam az kam woh log kaam dhandey se to lagey hote hain..."  

Bus yehi jumley kehte hoye bhai ghar mein dakhil hoye aur mein samjh gayi ke aj phir un ke haath koi noukri nahi lagi hai..waise un ka ghussa karna bhi jaiz hai woh apni university ke topper theiy aur interviews dene mein bhi ab to unhone record qaim kar liya hai pechle ek saal se wo noukri ki talash mein dhakkey kha rahe hain lekin ab tak noukri hasil karne mein nakaam rahe hain.

Meine har roz ki tarah bhai ke liye ek cup coffee banayi aur unka mood change karne ke liye yeh kehte hoye di ke koi baat nahi bhai noukri nahi mili to kya hua..interviews dene ke muamley mein to apka naam guiness book of world record mein to aahi jaye ga...ye kehte hoye meine t.v khola to SRK ki ek movie arahi thi jismein wo kehta hai "Kehte hain ke, agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish mein lag jaati hai" aur ye sun kar bhai ka ghussa jo pehle hi saathwen aasman pe tha wahin se mujh pe barasne laga,kya tum ulti seedhi cheezein dekhti rehti ho ye sub kitaabi baatein hain haqiqi dunya mein in baatoon ka koi wajood nahi aur hum jis mulk mein rehte hain usmein mulk rehne ka haq to sirf elite ka hi hai yahan kaam hasil karne ke liye strong recomendations ki zarorat hoti hai kuch dino mein to yahan saans lene ke liye bhi humein kisi parchi ki zarorat hogi PARCHI DEKHAO KAAM CHALAO YA KOSHISH KARTE KARTE HI MARJAO....


Ye kaahani sirf ek insan ki hi nahi hai balke humare mulk mein basne wale har insan bil khusus taleem yafta nojawan ki hai.Hum sub kahin na kahin,kabhi na kabhi koshish kar kar ke thak jaate hain aur ye soch lete hain ke humari mehnat ka koi sila nahi mile ga aur phir humari na umeedi apne haalat se itni barh jati hai ke humein apna wajood hi be-maa'ni lagne lagta hai halan ke ye bilkul ghalat baat hai ke hum haalat se haar maan jayein humein apni mehnat aur usey barh kar ALLAH PAK par kamil yaqeen hona chahiye ke wo humari mehnat ka sila zaroor dega aur kamyaabi humara muqadar zaroor banegi chahey halaat kitne bhi sakht kyun na hoon humein unka samna himat aur hosley se karna chahiye kyun ke ye hum par inhisar karta hai ke rah mein parhe hoye patharoon se hum kya banate hain ek naya rasta ya apni manzil ki rah mein deewar... mein apni poori baat kuch is tarah sametney ki koshish karahi hun...
"KOSHISH KARNE WALON KI HAAR NAHI HOTI...
GAR UPER WALE KA SAATH HO TO KO RAH DUSHWAAR NAHI HOTI..."



11 comments:

  1. superb write up indeed...
    nice way to describe n also good way to encourage...:)

    ReplyDelete
  2. Very nice shafaq u shows every day story humare mulk me un logon ki qadr ni hy jo talented hote hy

    ReplyDelete
  3. i couldn't stop smiling all the way till end. Very good.

    ReplyDelete
  4. Thanks everyone,specially ma'am areeba for appericiating my work.

    ReplyDelete
  5. wow shafaq mam waqai thk keh rahi hain.. itnay light way main itna acha msg diya hai tum ny.. mujhy bhi aesa likhna sikha do..:)

    ReplyDelete
  6. behn ap tou shrminda kr ri hain,ap tou masha-ALLAH khud bari cheeti hain likhne mein.:-)

    ReplyDelete