Aurat aur mard ki zindagi ka tarz badal raha hai, mard aur aurat ek gaari k do payye hain aur ye dono hi mashrey k ehm rukun bhi hain, ye wo batien hai jo hum sadiyon se suntey arahay hain, magar haqeqat kya hai? Kya aurat ko mahool aur huqooq hasil hain jo ik mard ko hasil hain, ajj hum Pakistani mahool ka jaiza lete hain tu surat e haal buhat mukhtalif nazar ati hai k ikiswi saadi ki aurat ko kis qadr masail aur pareshaniyon ka samna karna parta hai aur aurat apni pehchan k lye beshumaar masail ka shikaar hai, taleem ki saholatien na hone k braber hain aur jin elaqo mai mujood hai wahan larkiyon ko taleem hasil karne ki ijazat nahi di jati bs ye keh k unhen taleem hasil karne se mana kardiya jata hai k ye pharh likh k kya karengi, agey chal k inki shadi hi karni hai aur shadi k bad ye wohi ghar k kam kaaj karengi in ko taleem ki kya zarorat hai. Isi tarhan shehri zindagi ki bhi misaal kuch mukhtalif nahi hai, shehron mai bhi kuch tabqay aise hain jo yehi soch rakhtey hain aur apni larkiyun ko agey bharh k kuch karne ka muqa nahi dete aur agar larki ko taleem dilwa b dete hain tu bs itni k wo pharh likh sakay.
Humara deen Islam aurat ko taleem hasil karne se nahi rookta, aur naa hi kisi aise hunar ko seekhne se mana karta hai jo in k lye ammdani ka zarya ban sakey, Islam kabhi jaiz tareeqa ikhtiar karne per pabandi nahi lagata, ap khud sochen jab ik bacha duniya mai ata hai tu us k pehli dars gaah maa ki goud hoti hai, agar maa hi gair taleem yafta hogi tu wok is tarhan apni aulaad ki parwarish karegi, aur humare mashray mai aksar larkiyon ko yeh keh kar bhi taleem hasil karne se ruk diya jata hai k abb jo karna shadi k bad apney ghar ja kar karna lekin shadi k bad bhi larkiyon ki khawahish, khawahish hi reh jati hai, agr wo ghar or bachon ki zimedari sambhalne k sath sath nukri karna chahen tu kabhi usay apney shuhar k tanay sunnay ko miltey hain, tu kabhi ghar walon ki baten aur yehi wajah hai k aurat ajj apney makaam se na waqif hai aur apni ehmiat faramosh kar behti hai.
Larkiyan, larkon k muqabley mai tamaam tar shuboo mai behtreen karkardagi k tamgay hasil kar rahi hain, magar jab wo apni taleemi qabiliyat ki bina par aalmi zindagi mai qadam rakhna chahti hain tu rukawatien in ka muqaddar banti hain, hum sab ko is hawalay se sochna hoga aur apni soch ko wasi karte howe larkiyon k aalaa taleem k husool k lye iqdamat karne hongey takae larkiyan bhi agay akar apni qabiliyat ka luha manwa sakain.
really true...aurat ko apna haq khud hasil krna hoga khud awaaz uthaani hogi....
ReplyDeleteNice aurat jab tak khud apni ehmiat ni samjhegi use koi ehmiat ni dega
ReplyDeletehmaray mashray mai aj b bht se aisay log hn jo k lrkio ko aala taleem hasil krne se rokty hn or ak lrka agr agay na b parhna chata ho us ko zabardasti parhaya jata hai.jab hmara islam mard or aurat ko taleem hasil krna ka huqum deta hai tou hm khud se q itna farq rakhty hn
ReplyDeletenice
ReplyDeleteapne hak k leye aurat ko khud hi larna hoga ye mashra tahli me sajah kr aurat ko usko hak nahi dega khud larna hoga.
Nice.Aurat ka Knowladgeable and Educator bohot zarori a Qk Ik Aurat k Padne se pora ik Qoom Kamiyab ho sakta a ik philosophy k khena a tum mujhe pada lika Maa(Women) dedo me tume pada lika Qoom do'n ga...
ReplyDelete