ALLAH ne insane ko ASshrafu-ll-Makhlukat ka darja dia aur ye kalil si zindagi is
maksad k leye di ta kay isey Raza-e-Elahi kay mutabik basar kiya jasakay.Lekin
insane is duniya ki aarzi ranginyun,araishon,aysh-o-aram me koh kr apni daimi
zindagi ko bhula bheta hai.Duniyavi zindagi aarzi hai jab kay akhtrat ki
zindagi daimi hai.Insan aj is duniya me apne aysho aram ki zindagi guzarne kay
liye din rat musalsal mehnat krta hai aur apni manzil ko pane ki koshish me
laga rehta hai lekin kya hum ne kabhi guor kiya hai k ye duniya fani hai aur
agar mehnat krni hi hai to apni akhrat ko sanwara jaye apne ALLAH ki
raza,khushnudgi hasil karne kay leye
iski ebadat ki jaye.Islam kay 5 arkan Kalma-e-Toheed,Namaz,Roza,Zakat’Hajj.In
he 5 arkan ko jene ka maksad banaya jaye to hum apni akhrat ko sanwar sakyen
ge.
Kabhi to insan
apne aysh-o-aram kay liye mehnat krta hai to kabhi apni aulad kay liye
mehnat krta hai.Hum aj kal kay dor me apni aulad ko har trhan ka shuk-o-aram
dena chahty hai zamane kay tor tarikay sikhana chahty hai magar in ki zindagi ko kamil banane ka in ki
akhrat ko behtar banane aur inhe ek acha insane banane me kafi had tk nakam
rehte hai aur ye bohl jate hai kay
duniya hamara thikana nahi hai balkay ek safar krne ki jaga hai aur is safar ko
tay kr kay apni manzil par pohchna hai.Agar har insan is duniya ko aarzi jaga samajh ley to mashray me bigarr piada na ho aur tawazun barkarar
rahe kyun kay har insan koi bi bura kam krne se pehlay apni akhrat
kay bare me sochey ga jis say maasharti buraiyun ka khatma ho sakta hai.
Agar insan apni zindagi ko islam kay 5 arkan kay
mutabik guzare to kafi had tk maslay hal hosakty hai agar hum zakat ko sahi tarikay se ada Karen
to mashray me gadagari ko kafi had tk khatm kiya jasakta hai.Hamen duniya kay
kheel tamashe ranginiyan boht achi lagti
hai hamen kisi ki mayat ko dhek kr ye nahi bohlna chahye kay ye wakat hum par
bhi ayega insane ko bhi ek din fana hojana hai aur agar kuch reh jayega to wo
hamare aamal.Apne aamal aur do gaz kafan kay sath insan is duniya say rhuksat
ho jaye ga aur yehi is duniya ki hakikat hai.
True Anum pata nhi hum is fani duniya ko musalsal thikana ku samajhne lagte hy aur un akaid ke bare me ku ni sochte jo hum pe farz kiye gaye hy is arzi duniya me
ReplyDelete