“Are tmne
suna us larki ko chinees ati hai” “are tmari english to bht he zarbardast hai” “
mujhe tm pe trust hai”
Ye kuch
tarifi jumale hain jo hm ksi ko koi apni urdu k elawa dusri zuban sunte ya
bolte hue dekhte hain. Hm kitna kush hote hain jb ksi ko bht si zuban bolni ati
hon aur aksr hm un se dusri zuban ko sekne ko b bht tarji dete hain. Magar jab
wohi admi ye kehe
“ muhe tm pe
wiswas(bharosa) hai ”
to foran us
ko tok dete hain aur kehte hain k star plus ka nasha chara hua hai is pe to. Akhair
kyn?kyn? hm english chineese sakne ko bht achi nazar se dekhte hain aur hindi ko srf star plus ki zuabn ki had tk
rakha hai. Hindi b to ek zuban hai is ko sekhne ma kia hai?urdu ma kitne farsi
lafz hain jo shayad he kisi ko pta ho.humare qomi tarane ma sirf ek lafz urdu
ka hai aur baqi sub farsi ke Theek hai mana k hindi ko hum indai anr pakistan k
talukat ki waja se acha ni samj te lekin english b to hmare islam k dushman
esayon ki zuban hai magr phr bi humare lia wo sarori hai yahan tak k hum na is
english zuban k lia “engliah language centers ” b khol lie hain.hum bare asani se ye kah te
hai “ hamare mulk ka system kharab hogay hai”. Ma ye hi samjti hu k jb farsi ma
urdu n urdu ma english k lafz asakte hain to phr hindi k kyn ni ??
this all things are because of the rivalry due to which we r not giving value to a language...we should think sensibly...
ReplyDeletenafrat hai na....humse her chez tu unhnu ne lay li hai...
ReplyDeletehindi se jung india n pakistan ki brhti hoe dushmani hai.
ReplyDelete