Friday 10 February 2012

ANDHERA AAKHIR KAB TAK ???



App Pakistan kay kisi bhi gaon ya sheher mai chale jain, app ko log  sardiyon mai andhere mai bethe dikhayi denge, aur garmiyon mai hath se pankha jhaltay nazar ayen gey... kya yeh humari aur humaray mulk ki bad naseebi nahi ???

Yahan mai Bangladesh kay ek aisey bachay ki misaal deti hon jis ki raaten siyaah hoti theen, aur raaton ki yeh siyahi ilm aur is k darmiyaan haael ho rahi theen, yeh ek zaheen bacha tha jo apne mulk ka naam puri duniya mai mashoor karna chahta tha, lekin bad kismati se is k gaon mai bijli nahi the, shaam hotey hi pura gaon andherey mai doob jata, lekin pher is bachay ki zindagi mai inqelaab ata hai, or yeh inqelaab Dr. Yonus ki ejaab ''GRAMEEN SHAKTI'' the. Grameen Shakti ne tawanayi k panel banaye aur Bangladesh kay dehaaton mai ye panel asaan qiston par faraham kye jane lage, bachay ne jaise he is khabar ko suna, Dr. Yonus se rabta kya aur pher is ke ghar mai bhi Solar panel laga diya gaya, bachay ke ghar mai roshni agayi, abb bacha raat k waqt ko bhi istemaal karne laga, pharhne laga, board ke imtehan mai top kar gaya, aur ajj medical college ka talib e ilm hai, aur Bangladesh mai is jaise hazaron talib e ilm mujood hain, Grameen Shakti ik behtareen mansoba thi, jis ne Bangladesh ki taqdeer ko badal ke rakh dya, ke jis mulk mae kabhi andhera he andhera tha wo ajj roshni ki nemat se aisa fehaizyaab howa ke Bangladeshi awaam ki tamam tar mushkilaat hal hogayin, bachon ko taleem hasil kar k agey bharhne ke mawaqey mil gayae, Grameen Shakti ki factory mai har maheeney dus hazzar Solar panel banaye jatey hain, jis se ek laakh logon ko rozgaar mil raha hai, is munfarid mansobay ne puri duniya ko heraan kar dya hai, aur yeh ik aisa mansoba tha jo ik shaks ney akeley hi takhleeq kya.

Abb bat kartey hain apne mulk Pakistan ki, hum 19 crore awaam, humarey taleemi edaray bhi chal rahay hain, humare mulk ki engineering universities har saal hazaron ki tadaad mai engineers tayaar karti hain, lekin is sub k bawajood humaray mulk mai 6 se 7 hazaar mega watt ka short fall hai, hum moon soon mai barishon aur baki 8 maheeno mai khusk saali ka shikaar hotey hain, lekin pher bhi hum apney lye kuch nahi kartey, hum bs rotey rehte hain ke humaray mulk mai bijli nahi hai, yaa pher hum hukumranon ko kostay rehte hain, arey jab in zalim hukumranon ko hum awaam or mulk ki koi fiker hi nahi hai, tu hum khud agey bharh kar apney liye kuch kyun nahi kartay??? Agar Bangladesh ka ek shakhs akela hi lakhon logon ka muqaddar badal sakta hai, Dr. Yonus ka ejaad karda Grameen Shakti mansooba Bangladesh mai rehne waley logon ki andhery raaton mai ujala kar sakta hai, tu hum bhi 19 crore logon mai se Dr.Yonus jaise doo, chaar log daryaaft kar saktey hain, aur mulk mai darpaish masaail ko hal kar saktey hain, is ke lye bas masbat soch ki, khud apne qadamon ko agey bharhaney ki aur ALLAH ki zaat se pur umeed rehne ki.....

20 comments:

  1. well said,"ab khud kuch karna parega"!

    ReplyDelete
  2. hamare mulk k logo k sath yehi problem hai agar koi engenier b ban jata hai to wo sb se pehle bahr jane ki sochta hai kehte hai k apne mulk me kya rakha hai.

    ReplyDelete
  3. sanober absolutely right
    hum pata ni kiun age ane ki koshish ni karte koi khud se koshish ni karta ksi bi chez ki daryaft karne me
    aur dusre mulk khud apni chezon ko promote kerte hy jab ke humare pas bi zaraye hyn magr use utilize krne k lie log ni milte

    ReplyDelete
  4. well said...we have enoughg resources, genius minds even we have many students jo bilkul dr.younus ki trah ban skte hen but the only thing that lacks in our nation n country is PROMOTION ...hmari mulk m promotion nh mlti jiski waja se bht se hoslay bht si umeeden maand par jati hen...people STAND UP LOOK FORWARD STEP AHEAD...

    ReplyDelete
  5. nice one but humaray mulk may bhi bhut say logg aisay hai laiken facilities ni hai tu bundaa kia karay yaha par.....

    ReplyDelete
    Replies
    1. dear hum agr kuch karne ka irada karlen tu agr facilities nahi bhi hungi tu bhi hum wo kaam karleb gey.......lekin agr azam hi na ho agey bharh k kuch karne ka tu laakh facilities ho humarey pass pher b hum kuch nahi karenge........

      Delete
  6. wah bhi sanober tum tou mashaAllah zaber10 likhti hoo..:)

    ReplyDelete
  7. hard realities are shared. good job !
    youth !! now its your turn , can u make any difference ?

    ReplyDelete
  8. i agree with ur blog but yar jab tk insan apni buniyadi masail ko hal kar hi raha hota hai k dosre masail samne ajate hai bs isi me aik aik insan ki zindagi khatam hojati hai... us ko dosro k barae me sochne ka time hi kaha milta hai uski hi pareshaniya ghere rehti hai us ko.....

    ReplyDelete
  9. very well yr
    sach me hum aj kal sirf hukumarano per ya logo per ilzam dal dete hai. hum jb tk khud khud nae karenge to khuch nae badale ga..

    ReplyDelete
  10. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  11. gud effort.. u shud do smthng for pakistan

    ReplyDelete