Friday 10 February 2012

"BEY AMAL ,AALIM"

NABI KAREEM SALLALAHO ALIHE WASALLAM NE FARMAYA: " .AALIM ANMBIYA K WARIS HAIN"  hadees k is mafhoom se hum ba aasani is baat ka andaza laga sakte hain k ilm walo ya taleem yafta ashkhaas ka martaba ALLAH TA'ALA k nazdeek kitna baland-o-bala hai. 

doosri taraf agar hum Quaid-e-azam Mohammad Ali jinnah k bey shumar farman mein se aik par nazar dalein tou wo ye hai k "AGAR HUM TALEEM HASIL NAHI KAREN GEY TOU NA SIRF HUM PEECHE REH JAYEN GEY BAL K HAMARA WAJOOD HE BAQI NAHI RAHEGA".  

Taleem k mutalliq deeni or dunyawi nazaryat bayan karne ki wajah sirf ahl-e-ilm ya taleem yafta logo ki barai bayan karna nahi hai ,bal k ye nazaryat bayan karne ka haqiqi maqsad yeh hai k hum sub is baat par ghor karen k aakhir ahl-e-ilm ya taleem ko deen o dunya mein itna aala maqam kiyu diya gaya hai!!! 

Kiyu k ilm he k zariye zamana-e-jahiliyat mein insan ne apne haqiqi malik ko pehchana tha,ilm he ki ba dolat insan insaniyat ka dars seekhta hai.aala sanad taleem ki tarjumani nahi karti bal k insaan ka behtareen ikhlaq,aala kirdar,barkhaast-o-nishist,libaas,lab-o-lehja uski taleem or uskey ilm ki akkasi karte hain. 

Lekin dor-e-hazir mein hamari bad qismati ye hai k hamare paas aala asnaad tou hain magar hamare aamal se hamare ilm ki akkasi nahi hoti.hamare lab-o-lehje ka tou ye aalam hai k hamari baato'n ka aaghaz he qabil-e-aitraz alfaz(jo ab qabil-e-aitraz nahi rahe hain) se hota hai.hamara ikhlaq bad se bad tar or bad tareen hota ja raha hai,or ab tou halat kuch aisi hogai hai k aik chaprasi or hamari guftugu qadar-e-mukhtalif nahi rahi. 

Is tehreer ko likhne ka maqsad tanz karna hargiz nahi hai,bal k maqsood ye hai k hum sub apne aamal par aik nazar dalen or sochen kiya waqai hamare ilm ki jhalak hamari shakhsiyat mein nazar aati hai ya nahi! agar nahi tou hamen apni shakhsiyat ko aisa ayina bana lena chahiye jismein hamare ilm ki tasveer saaf nazar aye. humen apne ilm or amal k zariye apne muashre ko behtareen muashra banana hai or hamen "BA AMAL,AALIM BANNA HAI"

11 comments:

  1. Gud work ..... hum jo taleem hasil kr rahe hy uspe amal ni karte aur aj kal ke daur me ilm ki ahmiat humari nazr me degree aur job se barh kr kuch ni reh gai hy

    ReplyDelete
  2. Ek naqaad ki hesiat se parhney ki koshish ki per nikal nahi paya. Bohat acha likha ha, topic bhi bohat aala ha. Mashrey ki ikai fard hota ha, or aj gher taleem yafta afrad ka zikar to ek taraf MASHALLAH achey khasey sahib e ilm hazrat ki guftugu waise hi hoti hai jaisa zikar kia. Lekin aisa kion hota ha uski sab se aham wajah woh sohbat ha jis ma insan uthta bethta ha. Jesa k Hadis e Nabvi (S.A.W.W) ha k insan apni sohbat se pehchana jata ha.
    Ek cheez dekh lena yeh lafd barkhast o nashist hota ha ya nashist o barkhaast? ya dono istemal ho saktey hain.
    Fd.

    ReplyDelete
    Replies
    1. you hav pointed out d crrct mistk,itz "nishist o barkhaast"...

      Delete
  3. very good...we should work on it...aur apne amal ko esa bnaen k hamare qoul aur fail m tazaad na ho ...

    ReplyDelete
  4. good work.. aj hm bht taleem yafta ho k b ikhlaqi tor pe bht pichay hn.

    ReplyDelete
  5. Very well written Shafaq. Well done. Now I got to know k tum Nishist-o-Barkhaast ka kion pooch rahi thin! Good.

    ReplyDelete
  6. thanks alot everyone for appericiating my work!

    ReplyDelete