Monday, 5 March 2012

Bas bijli kay aik bill kay aewaz !!


“mera naam salma hai, shohar dukaandaar tha. Aik accident mein ALLAH ko pyara hogaya. Zindagi mein pehli martaba police ka saamna hoa to mallom hoa police kya hoti hai, insaaf kya hota hai aur adal kise kehte hen. Nashay mein mast aik ameer zaday ne mere shohar ko kuchal diya, mein mazloom thi aur wo zalim, mein faryadi thi aur wo mera mulzim lekin police usay thanay mein kursi bhi deti thi aur chai bhi jabkay mujhay sirf gandi galiyan aur hawas se labraiz nazrain hi milti thin. Mein apna faisla ALLAH par chorr kar ghar beth gai, mujhay nahi maloom mere case ka kiya bana!!!

Above writing is a part of a letter that Javaid Chaudhary received in earlier days of his column writing. SALMA ( obviously an imaginary name), I don’t know who is she , where is she now, is she alive or not but I make this severe issue my today’s blog just because there are so many women in all around the world especially in PAKISTAN, that are suffering and getting harrased. These are the women that choose wrong ways to survive then. It is not their own wish but the circumstances that compel them to choose that ways. Let’s read the letter and then decide, WHO IS THE REAL CULPRIT OF SALMA!

mera shohar aik beta nishani mein chorr gaya tha mein usay paalnay k lye ghar ki chezen bechti ik ik kar kay sab kuch bik gaya to socha zindagi ki gari ko dhakka dene k lye koi mulazmat krlu. Aik bohat baray afsar k ghar safai suthrai ka kaam mil gaya. Aik rooz afsar k biwi bachay shaadi mein shirkat k lye London chale gaye, ghar akela reh gaya. Mein ne kaam par jana chorr diya. Aik mahinay baad bijli ka bill agaya, bill bohat ziyada tha. Mere pas bill adaa krne kay paisay nahi thay. Mein kaam walay ghar gai to pata chala begum sahiba garmion ki chuttiyan guzaar kar hi wapas aengi. Mein nay agay peechay noukri talaash ki , na mili. Mein mukhaiyar afraad k paas gai, zakaat kamaitiyon k chairmenokay darwazay khatkae lekin kisi ne meri madad na ki. Mere ghar ka meter kat gaya garmi bohat thi mera beta garmi k maray chekhta tha. Mein pareshan hokar isi afsar ke ghar chali gai, isnay meri arz sun kar kaha, ab tum aa hi gai ho to mera karma saaf karti jao aur paisay bhi leti jana. Mein iskay kamray mein chali gai jaha isnay mere sath wohi sulook kiya jo is mulk k aksar haraam khor bebas aur majboor larkio se karte hen mein cheekhti rahi magar meri awaaz sound proof kamray se bahar nahi gai. Us shaam ghar loti to mere hath mein bill kay paisay  thay, mein ne socha thanay jaakar apnay upar guzarnay wali qiyamat ki shikayat krulekin phir socha jo police mere shohar kay qatil ko saza na day ski wo meri izzat ka kiya khaak badla degi. Aglay rooz m ne bijli ka bill ada kiya , bijli bahaal hogai kekin is kay baad mein afsaroon, sarmaya daroon, jagir daroon aur siyasat daano ki jageer ban gai.
chand paiso ko aaiwaz jo meri zrorat thay , jinhay mein halaal tareekay se kamana chahti thi wo is duniya k chand be zameer logo nay halaal na rhne diye aaj mere pas itnay paisay hn k din raat sari battiyan jalati hu aur apnay baity ko kehti hu ab is ghar mein kabhi bijli nhe kategi.
mein apnay betay se kehti hu jab mein maru to mere saath apnay baap ki F.I.R, mere pehlay boss ki tasveer aur bijli ka bill bhi dafna dena k jab apnay rabb kay huzoor paish hu to ye sara samaan gawahi bana kar paish krsku mein masoom hu bas teri duniya k ba ikhtiyar logo nay mujhe masom na rhny diya. Mein bhook kaat sakti thi, mein bewgi bhi kaat leti lekin mein WAPDA kay bilo say na larr saki…..


3 comments:

  1. Nice aise hi faryad har us ghar ki hy jahan pe bijli ke bilon ne ghareb aur bewa logon ka jeena muhal kia hua hy

    ReplyDelete
  2. nice
    ye bt sach hai aj agr koi kisi ki madad b krta hai to apne matlb k leye.insan ka zameer mar gaya hai.

    ReplyDelete
  3. very well written.. aj k is dor mai b aurat ka akelay guzara krna bht mushkil hai.

    ReplyDelete