"JANE KB HOGEN KM IS DUNIYA K GHAM
JENE WOLO PE SADA HOE ZULM-O-SITAM"
Duniya ek kheel tamasha bn kr reh gea hai yahan agar logo ka majmouan ek gird jama ho to zara dheken is bher me jakr ap ko boht se zalim log milen gey jo nihayt be dardi se janwaro ki trhan 2 be gunnah larko ko mar rahe honge in se poche bagair k in ka jurm kia hai akhar kis jurm ki itni sangeen saza un ko di gae.GE me yahan sailkot me marne wale 2 bhai ki bt kr rahi hun k kis trhan janwaro jesa in ke sath sooluk kia gaya,kya jurm tha in ka?knsa gunah kya tha inhone?akhr kyun wahan logo ki bherr sirf tamasha dhek rahi the?kitne log the wahan jo rash laga kr khare the aur khof-e-KHUDA ko bhula kr wahan sirf tamasha dhek rahe the.Insan khud garz hai wo sirf apne bare me sochta hai apna daman bachane k leye dosro ki jan khatre me dalta hai.
Insan agr sarak par chal raha hai aur achank agar koi gaddi ise mar de aur is ke sath koi hadsa ho jata hai to wo insan wahen sarak par para rehta hai log is ke ird gird jama to hojate hai par koi age bhar kr usey fori tor par haspatal nahi le kr jata yahan tk ke jis shaks ki gaddi se ye hadsa howa hota hai wo sb se phele bhag jata hai.Kya insan ki jan ki keemat bus itni si reh gae hai,akhir kyun hamara zameer mar gaya hai.Hum is duniya me tamash ben bn kr reh gae hai.Yahan to aksar target killing me na jane kitne be gunnah log mar diye jate hai aur kbi to insan ko zinda jala diya jata hai to kbi kisi ko korro ki saza hoti hai;log dhekte to hai ye sb lekin ek tamashe ki trhan!
Insan kyun akhr is duniya me ane ka maksad bohl gaya hai wo kyun nahi sochta k usay b akhir ek din KHUDA ki adalat me paish hona hai yahan ki zindagi to aarzi hai akhrat ki zindagi daaimi hai to insan kyun akhir duniya me reh kr apni akhrat ko bohl gaya hai.Kya wakae me hamare dilo me se KHUDA ka khof kahen kho kr rehgaya hai?kya wakae me hamara zameer mar gaya hai?aj duniya sirf ek kheel tamasha bn kr reh gae hai yahan apko tamasha dhekne wale boht mile gen par madad krne wala koi nahi.
Be gunnah logo par zulm-o-sitam kiye jarahen hai lekin log sirf tamasha dhek rahe hai,hamen apni soch apne zameer ko masbout banana hoga warna hum log b zulm krne wale logo me shamil honge.kyun k zulm krne wala aur zulm sehne wala dono brabr hai.
very nice
ReplyDeletegood anum...and u r right log bht behiss hogae hen....
ReplyDeletethankx sobi
Deletenice anum, is waqie ne humare rongte khare kardiye kaise zalim hojate hy wo log jo masomo ke khon ke pyase hy r use zada unhe dekhne wale ke unho ne bachane ki koshish tk na ki
ReplyDeletethankx salma
ReplyDeletegood written.. hmlog hr us kaam ka koi action letay hai jis ka hm se koi talluk ho wrna agr koi dusra mar b raha ho tb b hm bech mai nh partay kahin hmari khud ki jaan khatray mai na par jaye
ReplyDeleteafsos hm log ab bht behis ho chuke hain
ReplyDelete