Sunday 22 April 2012

Zindagi Musalsal Imtehan Hai

Koi kehta hai zindagi musafrat ka naam hai.Insaan musalsal safar mai hai lekin mai is say ikhtilaf karty hoye kehti hun kay zindagi darasl aik imtehan ka naam hai .kyun kay jab hum school mai pheli baar jaty hain to humary maa baap humko chor kay aty hain to vo humary leya both bara imtehan hota hai .Class ka mahool new bachy , ik new teachers ,ajeeb ajeeb terhan k bachy yeh sab dekh kar dar or khuf mehsoos karty hain or yehi humara phela imtehan hota hai or kis terhan hum apny apko is new mahool mai adjust karty hain is kay baad say humara har paal ik new imtehan say guzar raha hota hai .Humara har rooz har din ik imtehan say kam naee hota humko apni zindagi mai hamesha ik imtehan say guzarna parta hai , humain apny apko ik new mahool mai dahlna parta hai.

Ishe terhan ik larka jab job ki talash mai jata hai ,us k bad job milna phela din job ka vo sub us ki zindagi mai bohot bara imtehan hota hai ,ishe terhan larki shadi k bad jub new ghar mai jati hai new logun say milti hai vo sab is k leya ik inmtehan say kam naee hota usko us new mahol mai dhalna parta hai,imtehan srf humary school college or university mai naee balky puri zindagi humari imtehan ka naam hai ishe leya kaha jata hai zindagi ik musalsal imtehan ka naam hai.

No comments:

Post a Comment