Saturday, 21 April 2012

KIYA YAHI HUM MUSALMANO KI SACHAI HAI!!!!

"Ilm ek lazawal Daulat hy"
Ilm aik aisi daulat hy jise ap se duniya ki koi Taqat dor nahi kar sakti. Ilm aik aisi rehnumai karne ka ala hy jis ki zarurat apko mehsos tu nahi lagti magar phir bhi yeh chez buhat ehmiat rakhti hai. Jab hi humare Rasool Hazrat Muhammad (S.A.W.W) ne farmaya ke: "Ilm hasil karu azal se abad tak"
Ilm ko hasil karne ki koi pemaish nahi kyonke ye tu aik aisa dariya hai jis me qadam rakhte hi aap aik sire se dusre sire tak pohanch jate ho. Sahi lafzon me kaha jaye tu ilm har insan hasil kar sakta hai  magar aj ise sirf ameer logon ki zeenat bana diya gaya hai kyon ke ilm se mushabihat rakhti hai Taleem aur Taleem hasil karne ke liye zaraye mujod hona lazmi hai. Kiya ye bhi ilm nahi ke ap koi choti si malomat hasil karlen. Jo log Degrees le kar Idharo se bahir ate dikhaye dete hai aur khud ko Oncha samajhne lagte hai kiya woh bhi Aamil hote hote hain nahi balke Aamil tu hota hai wo shakhs jis ne Taleem ko aur Ilm ko sahi maiyno me samjha ho use Achai aur Burai ka fark sahi tarah malom ho.
Is ki misal me apne hi qareeb ke logon ki Baton se lagati hon ke wo Aj ke is dor me kisi aik aamil pe yaqeen nahi karte balke wo har se pochna chahte hai tab tak jab tak unhe tasali bakhsh jawab na mil jaye. Ye aqaid humari bunyad ban gaye hai aur isi wajeh se tafarqe paida ho rahe hai.
Humare Khalifa ke dour me un ki bat aur ek mutalbat pathar ki lakeer hote the aur aj ke is dour me agar aik baat 10 ulma bi bol rahe ho tu logon ko aisa mehsos hota hai ke inka taluq ek hi jamat se hoga. Aj hum is ilm ki jadujehad me nahi balke apni marzi ke ilm ki khawahish me nazar ate malom hote hai. Kiya yahi sach hai??
aur kiya yahi hum musalmano ki sachai hai!!!!

MUJHEY NAZ HAI KHUD PE!

Main ghuroor hoon apne abbu ka, mujh mein jhalak hai meri ammi ki.. main jeeti hoon unke khuab purey karne k liye wo kuab jo dar haqeeqat mere thay magar mere maa baap ne unhen apna bana liya sirf is liye q k un khuabo'n ko maine dekha hai.. mera khuab muashre mein apni pehchaan banana aik mazboot maqam banana han jis din ye khuab pura hoga iski damak main apne amma abba ki aankho main saaf dekhon gi us din log mujhe unke naam se nhi balke unhen mere naam se pehchane gey... 

q daroo main khuab dekhne se sirf is liye q k main aik larki hoon??mujhme itni himmat or qabiliyat hai k main apne  an ginat khuabo ko pura kar skti hoon q k mujhe har qadam par himmat dene or mera aitmaad barhane k liye mere maa baap meri behen mere tamam gher wale mere teachers mojood hain,q sochoo k mere khuab purey honge ya nhi jab k mere paas dunya o kainat ka MAALIK hai jo har imtihaan mein meri madad karta hai.. 

mujhe naz hai khud pe or har us larki pe jo na sirf khuab dekhti hai balke unhen pura karne ki himmat b rakhti hai or apne khuabo ko poora karne ki har mumkin koshish karti hai. larkio kuch aisa kaam zaroor karo jiske zariye tumhare amma abba tumpe fakahr karen...

 

NAQAL KHAPPEY !!!

EK ZAMANA THA JAB CHEATING KARNA, EK GUNAH KEY BRABAR SAMJHA JATA THA AUR CHEATING BHI CHORI CHUPAY KARNEY KO KAHA JATA THA, LEKIN ABB WO DOR AGAYA HAI, JAB CHEATING BHI SAB KEY SAMNEY AUR BARAY FAKHARYA ANDAAZ MAI KI JATI HAI, AUR CHEATING KARNEY KO QABIL E FAKHAR FAIL SAMJHA JATA HAI.

PAKISTAN MAI HAALYA AISI HI KUCH SURAT E HAAL DEKHNEY MAI AYI, MATRIC K IMTEHANAAT MAI IS BAR JITNI CHEATING HOWI HAI WO SOCH HAI APP KI !!!

TULBA O TAALBAT IMTEHANI MARAKAZ MAI CHEATING KARNE MAI AISEY MAST NAZAR AYAE JIS KI KOI HAD NAHI..... NA INHEN APNEY ASAATZAA KA DAR THA...KYUN K WOO TU IN KEY SATH HI MILEY HOWEY THAY....AUR YEHI SAB SEY BARI WAJA THI KEY YE TALIB E ILM BACHAY.....APNEY KAAM MAI MAGAN THAY.....IN BACHON KO NA TU MEDIA KA DAR THA AUR NA IS BAT KA KHOUF K IN K GHAR WALEY INHEY AISY HARKAT KARTEY HOWEY DEKH BHI SAKTEY HAIN...

JAB BACHON KI BUNYAAD MAI HI CHEATING HOGI, TU WO KESY AGEY JA KAR APNEY MULK O QUOM AUR APNEY APP SEY MUKHLIS HONGEY......GHAR WALON AUR ASAATZAA KO BACHON KO SAMJHANA CHAHYE K CHEATING EK BURA FAIL HAI.........AUR HUM SAB KO IS SEY DUR REHNA CHAHYEE.......AUR APNA HAR KAM EMAANDAARI KEY SAATH KARNA CHAHYE...........

KYA RAKHA HAI PAKISTAN MAI !!!


PAKISTAN HUMARA MULK ! HUMARAY ABA O AJDAAD NEY MULK KO BARI QURBANIYON KAY BAD HASIL HOWA. IS MITTI KI MUHABBAT SAB KEY DILON MAI AJJ BHI ZINDA HAI. AUR AJJ BHI WATA SEY MUHABBAT KA JAZBA HUM SAB K DILON MAI SAR SHAAR HAI.

LEKIN ROZ MARRAH KI BHARHTI HOWI KASHEEDGIYAN AJJ IS MUHABBAT KEY JAZBAY KO KUM KARTI JA RAHI HAI. LOG AJJ APNI IS MITTI KO CHOR KAR PARDES JA BASEY HAIN. LEKIN KYA WAQAYI HUMARAY DILON MAI APNEY MULK KEY LYE MUHABBAT KHATAM HOGAYI HAI.
                                       SHAYAD NAHEEE.....

KYUN KEY AJJ BHI JAB HUMARI QOUMI CRICKET TEAM KHEL K MAIDAANMAI UTARTI HAI, AWAAM KA JAZBA IS BAT KA EHSAAN DILATA HAI, KEY HAMEY AJJ BHI APNEY MULK SEY, APNEY MULK K LOGON SE PYAR HAI, AJJ BHI AGAR PAKISTANI TEAM KHEL KEY MAIDAN MAI SHIRKAT KARTI HAI TU, MULK KA BACHA BACHA IS MAI SHIRKAT KAR KEY KHILARION KI HOSLA AFZAYI KARTA HAI, HAR SHAKS PURAY JOSH O KAROOSH SEY KHEL MAI SHAMIL HOTA HAI....JESAY APNEY HI MULK MAI HON......HUM IS MUHABBAT KO FARAMOSH NAHI KAR SAKTAY, AUR YEH WO JAZBA HAI JO HAR PAKISTANI K DIL MAI HOTA HAI ....CHAHEY WO PAKISTAN MAI HO YA KAHIN AUR.....

AUR AJJ LOG GHOMNEY PHERNEY AUR SAIR O TAFREEH KI JAGA MURREE, QUETTA JANEY KO QABIL E FAKHAR SAMAJTEY HAIN, KYUN KEY PAKISTAN MAI ITNEY DILKASH MANAZIR, KHUBSOORAT WADIYAN HAIN, JO LOGON KEY DILON MAI HUBUL WATNI KA JAZBA PAIDA KARTI HAI....HUMARA MULK HUMARI PEHCHAN HAI, TU HUMEY IS KAMI KO DUR KARNEY KI JUSTUJOO KARNI CHAHYE, NA K IN NA PAIDAAR WAJHA JO HUMARAY MULK K SIYASI MAHOOL MAI CHAL RAHI HAI, APNA MULK APNA HOTA HAI.........IS KO YEH KEHNA K PAKISTAN MAI KUCH NAHI RAKHA YE SARASAR GHALAT HAI........

       PAKISTAN MERA MULK HAI..........AUR SAB KUCH HAI PAKISTAN MAI !!!






     

don't under estimate khans



In Pakistan khans or pathans are known as “akrot” because of their unwise full acts. We consider them.
But if we look in the past khans have made lots and lots of contribution in our success like salman khan, shahrukh khan, aamir khan are most dominated persons in bollywood film industry.
Nusrat faheh ali khan and rahet fahat ali khan have won lots of hearts through their sweet and melodious voice. Jahagir khan and jamsher khan the most prominent squash players in the world are also khan who are world first class squash players and now when it comes to world of cricket umar gul and shahid khan afridi again khan are enriched with unbreakable world records in the field of cricket and of course the great imran khan and youns khan the have brought world cup in our country from both sides 50-50 and t20. Kamran khan the very renowned journalist who have pool of knowledge who's hard hitting talk shows have showed us true face of our politics and government and last but not the least dr.abdul qadir khan  “Mohsin-e-Pakistan” (Savior of Pakistan) Pakistan's top scientist who have given nuclear project the first Muslim state to have nuclear project. We have so many genius and intelligent khan who have won great tittles in almost every field so how can we say that khan and pathans are mindless persons. Simpletons are found in every society but that don't mean just pathans and khan are only mindless all I have to say that we have to realize their skills and genius mind and appreciate them not dis heart them as they are also our brethren. 











MASHRAY KA ASAR YA PARWARISH MAI KAMI ...

Once a man sit in his garden and busy in reading newspaper his old father come towards him & sit besides him suddenly old man see crow on tree he ask to his son what it is ? He replies dad it is crow than again start reading after sometime old man again asks beta wo kya hai ? Son replies it's crow daddd.. than start reading . Third time old man again asks the same question son replies so rudely whats problem dad why are you asking the same question again n again I have already told you it is crow.. dad smile n said beta you know when you were kid you asked me the same question hundreds of times n every time i replied you so happily n you are tired of my question just after three times.
Just think what we are doing with our parents ?? they bring up us, bear our all acts, at every single pain of their child they feel more pain, they sacrifice their happiness for their children, they dedicate their life to their child but at the end what they get ?? Just Edhi houses or misbehaving attitude from their child .. At the age when child need their parents, parents always there for the guidance of their child now compare the time when parents need their child most at old age they get just disappointment or old age homes.. 
Is this the fruit of their struggle which they did to bring up their child.. No it is so shameful deed but with great grief majority of us is busy in doing these deeds :( ..
 May ALLAH keep us in his guidance and keep the respect of our parents in our heart. 







Friday, 20 April 2012

AURTON K HUQOOQ...

AURAT JO K BEHEN BHI HAI, MAA BHI AUR KISI KI BIWI BHI.......HAMESHA APNEY ILAWA HAR KISI KI KHUSHI KA KHAYAL KARTI HAI.......BEHEN HAI TU APNE BHAI BEHNO KA.... MAA HAI TU APNI AULAAD KA AUR BIWI HAI TU APNEY SHOHAR KA...LEKIN YE MAASHRA AURAT KO APNI ZINDADI DHANG SE JEENEY Q NAHI DETA, EK AURAT KO IS MASHRAY KI WAJA SEY KIN KIN MUSHQILAAT KA SAMNA KARNA PARTA HAI.. AGAR KOI AURAT APNEY MAALI HAALAT KI WAJA SEY KABHI KAAM KARNEY KI GARZ SEY BAHAR BHI NIKALTI HAI, TU EK KAM KARNEY WALI AURAT KO MASHREY MAI KIN NIGHAON SE DEKHA JATA HAI. DEKHNEY WALEY YE NAHI SOCHTEY K WO AURAT KIN MUSHKILAAT AUR PARESHANIYO KA SAMNA KAR K YEH QADAM UTHATI HAI. KYUN AURAT KO HAR BAR HAIRAT KI NIGHAON SEY DEKHA JATA HAI. JAB K AURAT KA MASHRAY MAI BUHAT EHM KIRDAR HAI AUR AURAT KEY HUQOOQ KA ISLAM MAI BHI ZIKAR HAI, TU PHER Q IK AURAT APNI MERZI K MUTABIQ APNI ZINDAGI NAHI JEE PAATI.........AZAL SEY HI AURAT HI ZAMANEY K DUKH DARD SEHTI ARAHI HAI.......APNA SAB KUCH KHOO KAR BHI AURAT KO KUCH NAHI MILTA...... HUM SAB KO SOCHNA CHAYE K IK AURAT KO PORA HAQ HAI APNI ZINDAGI JEENEY KA AUR HAR W KAAM KRNEY KA JO WO KARNA CHAHTI HAI......AUR KISI KA KOI HAQ NAHI BANTA K KOI BHI AURAT KO APNI JALI KATI BATON KA NISHANA BANAYE AUR BILAWAJA US PEY KOI TANQEED KAREY......EK AURAT KO PORI AZADI HONI CHAHYE K WO HAR KAM KAR SAKEY....AUR AJJ KAL MARDON K MUQABLAY AURTEN ZIADA KAM KAR RAHI HAI....AUR ZIADA NAM KAMA RAHI HAI.......... AUR KOI BHI KAM HOO AURAT USEY ACHAY TAREEKAY SE NIBHATI HAI........CHAHAY WO US KI GHARELOO ZINDAGI HOO YA WO NOKRI KARTI HOO.......IS LYE AURAT KO KISI SURAT RUSWA NAHI KARNA CHAYE KYUN K AURAT KA IK BUHT EHM KIRDAAR HAI MASHRAY MAI AUR HUM MAI SEY KOI BHI IS BAT BAT SE INKAR NAHI KAR SAKTA.....