Saturday, 21 April 2012

KIYA YAHI HUM MUSALMANO KI SACHAI HAI!!!!

"Ilm ek lazawal Daulat hy"
Ilm aik aisi daulat hy jise ap se duniya ki koi Taqat dor nahi kar sakti. Ilm aik aisi rehnumai karne ka ala hy jis ki zarurat apko mehsos tu nahi lagti magar phir bhi yeh chez buhat ehmiat rakhti hai. Jab hi humare Rasool Hazrat Muhammad (S.A.W.W) ne farmaya ke: "Ilm hasil karu azal se abad tak"
Ilm ko hasil karne ki koi pemaish nahi kyonke ye tu aik aisa dariya hai jis me qadam rakhte hi aap aik sire se dusre sire tak pohanch jate ho. Sahi lafzon me kaha jaye tu ilm har insan hasil kar sakta hai  magar aj ise sirf ameer logon ki zeenat bana diya gaya hai kyon ke ilm se mushabihat rakhti hai Taleem aur Taleem hasil karne ke liye zaraye mujod hona lazmi hai. Kiya ye bhi ilm nahi ke ap koi choti si malomat hasil karlen. Jo log Degrees le kar Idharo se bahir ate dikhaye dete hai aur khud ko Oncha samajhne lagte hai kiya woh bhi Aamil hote hote hain nahi balke Aamil tu hota hai wo shakhs jis ne Taleem ko aur Ilm ko sahi maiyno me samjha ho use Achai aur Burai ka fark sahi tarah malom ho.
Is ki misal me apne hi qareeb ke logon ki Baton se lagati hon ke wo Aj ke is dor me kisi aik aamil pe yaqeen nahi karte balke wo har se pochna chahte hai tab tak jab tak unhe tasali bakhsh jawab na mil jaye. Ye aqaid humari bunyad ban gaye hai aur isi wajeh se tafarqe paida ho rahe hai.
Humare Khalifa ke dour me un ki bat aur ek mutalbat pathar ki lakeer hote the aur aj ke is dour me agar aik baat 10 ulma bi bol rahe ho tu logon ko aisa mehsos hota hai ke inka taluq ek hi jamat se hoga. Aj hum is ilm ki jadujehad me nahi balke apni marzi ke ilm ki khawahish me nazar ate malom hote hai. Kiya yahi sach hai??
aur kiya yahi hum musalmano ki sachai hai!!!!

No comments:

Post a Comment