Friday, 20 April 2012

PAKISTANI FILM INDUSTRY ZAWAL KA SHIKAR!!

Hamari film industry yani lollywood pichle kayi saalo se ta haal zawal ka shikar hai..jiski baat aksar film producers n directors karte hain magar iski behtaree k liye kaam koi nhi karta.aksar talk shows wghera mein film idustry k bare chehre is zawal k peeche ki khamiya discuss karte nazar  atey hain magar jab bhi unlogo ko films banani hoti hain wo hmari mojuda riwayti filme he banate hain jiska na koi sar hota hai or na peir.. 
hamari filmo mein siwaye behuda gaano,ajeeb qisim k dance or behuda mazaq k ilawa kuch nhi hota.or usko dekhni wali audience bhi phir wesi hoti hain jaisi wo filme.

magar hamari film industry  hamesha se zawal pazeer nhi thi,ek waqt tha jab hamari filmo ki demand itni thi k ajkal bollywood or hollywood movies ki hoti hai.phir achanak wo dour shuru huwa jab hamare film sazo ne family movies banani or subject based movies banani he chohr dee or hmari film industry ka bura waqt shuru hogya. 
ab bhi ye industry taraqqi kar skti hai zarurat sirf is baat ki hai k tanqeed baraye tanqeed k bajaye koi positive step liya jaye or complete family entertaining movies bnayi jayen.
 

No comments:

Post a Comment