Kuch dino se meri tabiat bohot bey chain hai,dimagh ajeeb si pareshani mein ghira hai. ye kefiyat us din k baad se hain jab hamari university mein mela laga tha,jis din mela tha main ye soch k gai thi k aj ka din mei zindagi k yadgar tareen dino mein se aik ban jayega or waqai wo din mere yadgar tareen dino mein se aik ban gya aisi yad jo har waqt mere dimagh par chhai rehti hai or mujhe ye sochne pe majboor kar rahi hai k hum yani Pakistani or us se bhi pehle naam nihad MUSALMAN kis gali ja rahe hain!!!
Mele wale din main as usual subah he university pohanch gaee har taraf rang birange kapro mei malboos hansti khilkhilati larkian nazar arhi theen,aik taraf jhoole rakhe huwe thay or bohot sari cheezo k stalls b lage huwe thay or loud music bhi tha overall it was a perfect mela.wahan se main or meri friend dolmen mall chale gaye n we both enjoyed alot but when we went to the food court i saw in the name of modernity n advancement we are demolishing our Islamic values,our culture n all....dating couples ab har jaga restaurant,parks etc mein nazar atey hain magar wahan mojoud couples ne ikhlaqiyat ki sari huddood o quyood ko jis bedardi se ronda agr wo manazir unke waliden dekhlete tou shayad sharam se he mar jate ya unlogo ko maar dalte.....
hum sub kehte hain k taliban ne afghanistan mei islam k naam pe dehshatgardi phela rakhi hai lekin ye sub halaat dekhne k baad mai ye sochne pe majboor hogai hoon k hamare mulk mein waqai islami nifaz ki shadeed zarurat hai chahe uske liye hamein khud ko "dehshatgard " he q na kehelwana pare.
hum sub apni apni dunya mein magan hain kisi ko is mulk tou door ki baat akhirat tak ka khayal nhi hai,khudara kuch khof akhirat ka he karlo or modernism k naam pe parwan charhne wali fahashi ko roken..hum tou us mazham k perokaar hain jiski riwayaat,tehzeeb misali hain or humne he unvalues ko bari he berehmi se rond dala hai.
No comments:
Post a Comment