Saturday 21 April 2012

WO HUMSE BEHTER JANTE HAIN

pata nhi wo q nhi samajhteen? kbhi meri feelings ka andaza nhi laga patee'n?hamesha mujhe he q ghalat tehraya jata hai?jab dekho main he ghalat hoti hoon!ye na karo, aisa na betho, aise kapre na pehno, aise na bolo, abbu ghussa karen ge, bas main tou tang agai hoon is zindagi se this is the limit! aakhir meri bhi koi personal life hai n i want to enjoy it as i want...or kal tou had he hogai na jane kis anjan larke ko mujhse itroduce karwadia or meri amma sahiba kehti hain k mujhe ussay shadi karni hogi q k unko or mere abbu ko wo larka or uske gher wale pasand hain...meri pasand ka kia! uufff!! 

uni k cafe mein theek mere samne wali table pe bethi hoi larki rote huwe apni friend ko apni aap beeti suna rhi thi or uski friend uske aansoo ponchne k sath sath samosa b kha rhi thi jaise wo koi kahani sun rhi ho ya live movie dekh rhi ho.or usey samjha rhi thi k kia kar skte hain yaar hamare parents hamen samajhte he kahan hain unhen tou bas apni he fkar rehti hai hamari khuahishat ka unhen khayal kahan kher tum rona band karo abi class ka time hone wala hai phir baad mein baat karenge.jao tum apne liye jaldi se lunch le k ao phir sath chalte hain,jo larki apni rudad suna rhi thi uske uthte he uski "hamdard dost" ne table pe bethi hoi doosri larki se kehna shuru kia aray ye tou hai he aisi,kapro ki tarha tou ye boyfriends change krti hai hahaha amma abba ko iski harkato ka ilm hogya hoga isi liye rishta dhoond rhe hain phir dono larkian zor zor se hansne lageen.. 

ye dekh k mera dil chaha k jo larki apni rudad apni dost ko apna hamdard or kher khua samjh k suna rhi thi usay uski dost k khayalat uske liye batadoon..phir main sochne lagi k ye hamari ghalat fehmi hoti hai k hamare waliden se ziada koi or hamara sacha mukhlis koi or nhi hoskta.hum kitni asani se kehdete hain na ammi abbu ko hamari khuahishat ki koi fikar nhi hum ye bhool jate hain k jab hum bolna bhi nhi jante thay us waqt bhi wo hamari tamam khuahish samjah jate thay tou kia wo hamare liye koi b faisla ghalat kar skte hainn!!!kabhi ye nhi sochna chahiye k hamare waliden ne hamare liye ghalat faisla kia ya kar rhe hain q k wo ghalati se bhi hamare liye koi ghalat faisla nhi kar skte.    

No comments:

Post a Comment