Saturday, 21 April 2012

MUJHEY NAZ HAI KHUD PE!

Main ghuroor hoon apne abbu ka, mujh mein jhalak hai meri ammi ki.. main jeeti hoon unke khuab purey karne k liye wo kuab jo dar haqeeqat mere thay magar mere maa baap ne unhen apna bana liya sirf is liye q k un khuabo'n ko maine dekha hai.. mera khuab muashre mein apni pehchaan banana aik mazboot maqam banana han jis din ye khuab pura hoga iski damak main apne amma abba ki aankho main saaf dekhon gi us din log mujhe unke naam se nhi balke unhen mere naam se pehchane gey... 

q daroo main khuab dekhne se sirf is liye q k main aik larki hoon??mujhme itni himmat or qabiliyat hai k main apne  an ginat khuabo ko pura kar skti hoon q k mujhe har qadam par himmat dene or mera aitmaad barhane k liye mere maa baap meri behen mere tamam gher wale mere teachers mojood hain,q sochoo k mere khuab purey honge ya nhi jab k mere paas dunya o kainat ka MAALIK hai jo har imtihaan mein meri madad karta hai.. 

mujhe naz hai khud pe or har us larki pe jo na sirf khuab dekhti hai balke unhen pura karne ki himmat b rakhti hai or apne khuabo ko poora karne ki har mumkin koshish karti hai. larkio kuch aisa kaam zaroor karo jiske zariye tumhare amma abba tumpe fakahr karen...

 

No comments:

Post a Comment