Koi bhi aisa Pakistani nahi hoga jo is naghme ko sun kar apne fauji
jawano par fakhr mehsoos na kare ya in ki bahaduri par...in ki shahadat
par rashk na kare...in ke liye anso na bahaye...par kya humare ye jazbat
sirf naghmo tak hi wakf ho kar reh gaye hain kya humein apne faujiyon
ki na qabil e faramosh qurbaniyan... in ki humare liye ki gayi khidmaat
sirf tabhi yaad ayein gi jab hum bade josh o walwaley se ye naghme
sune... in ke qisey suney...ya phir 6 september ko tv par dekhaye jane
wale shows bade khush hokar dekhein or apni fauj ki tareefein kar or
bus...
Arey nahi bhae hum tabhi apne faujiyon ko yaad karte hain jab in
par koi musibat aati hai...Media ke numainde apne channel ke busy
schedule mein se kuch waqt in faujiyon par surf kar dete hain...jaise
in ke ghar walon se mil kar unki bebasi ko apne dekhne walon tak
pohancha kar... un par kuch der ki footage dekha kar...or busss....itna
kafi to hai or waise bhi humare paas tou or bhi buhat se kaam
hain...saal mein do teen din kafi hain in logon ke liye jo pure saal
humari hifazat karte hain...humari sarhadon ki hifazat karte hain...apne
ghar walon se duur rehte hain takey hum apni khushiyan apne apnon ke
sath mana sakein...jabhi hum par koi musibat ati hai to ye subse pehle
aage barh kar humari madad ko pohanchte hain...kya ye humari khud
garzi nahi ke jab humare faujiyon ko humari zarorat hoti hai to hum bus
hath par hath dhare bethey rehte hain..
.agr hum kuch nahi karsakte par
hum dua to karsakte ke "Aye ALLAH jo humari sarhado par beth kar humari
hifazat karahe hain to in ki hifazat farma...in ko apne aaman mein
rakh..."
Hum agar kabhi apni or in ki zindagiyon par nazar dalein to humein ehsas hoga ke ye kitni mushkil zindagi guzarte hain...har waqt maut ke saye mein rehte hain par phir bhi ye soch kar khush rehte hain ke hum apne mulk or is ki awaam ke liye kuch karahe hain...or inki awam inke liye kia karti hai,jahan koi mauqa mila bas hogai shuru apne faujio ki burai karna.come on grow up,kia hum or hamara media sirf or sirf tanqeed karna he janta hai or jab koi hadsa pesh ajaye tou bare bare programs pesh kardeta hai jaise inse ziada fauj ka koi or hamdard hai he nhi..
khudara faujio ki is mulk k liye di gayi qirbaniyo ko samjhiye or sirf kisi special day ya hadse ki surat mein he nhi balke aam dino mein bhi unki hosla afzai ki jaye.
No comments:
Post a Comment