Friday 20 April 2012

Main Tou Dekhonga!!!

Main tu dekhonga

Main tu dekhonga
Tum bi dekhoge!!!
Tum bi dekhoge 
Jab Roti sasti hogi aur mehngi hogi jaan..
Wo din phir ayega jab aisa hoga Pakistaaaaaaaaan.....


1947 ki mushikalt ke baad, Aaj 65 saal baad jo mene apne mulk apne Pakistan ki Halat dekhi tu har jagah dehshat gardi, Target killing ko Aam dekha syasi Logon ko Aapas me Ilzam tirashi karte aam dekha, aisi jahalat channels ke program pe dekhi, ke apne mulk ke parhe likhe tabqe ko hi jahil hone ka sazawar dekha, dekhe jo program (BNN, Hum sab umeed se hy ) tu apne syasat daano ka mazaq urhte aam dekhe , sab kuch dekh lia is jamhori dor me magar nahi dekha tu sirf apni awam ko sukon o musarat ki halat me na dekha.


Aj humare mulk ki tabahi us waqt se bhi gambher hoti jarhi hai jab humare paas kuch nahi tha aur aj hum jante hain ke Pakistan main kitne wasail , kitni aabshare aur dilkash manazir hai magar sab be faida sabit horahe hai kyonke aik buhat badi chez jis ki kami hai wo humare  istemal ki hai hum aaj  dehshat gardi ki jang mein hi itne piste jarahe hai ke is chaki mai humare mulk ki mashiyat bhi pisti jarahi hai aaj hume nayi ijadat karne ki nahi balke  mulk me sukon ki zarurat zada mehsos malom hoti hai aj logon ke naaro me Roti , kaprha aur makan ke ilawa bi aur naare shamil ho chuke hai jo kisi chez ki mukhalfat me uthte hy mukhalfat  mulk ko dibote syasat dano ki ghair janibdar  policy banane aur amal pera karne ki tasveer banne ja rahi hoti hai ya phir ban chuki hoti hai  agar hum awam apne hosh o hawas me nahi honge tu kaise taraqi karega Pakistan!!!
 ya phir hum is song  ki tarah aik aas lagaye bethe honge ke kabhi tu aisa hoga Pakistan!!!

No comments:

Post a Comment