Friday 20 April 2012

MAIN SOCHTI HOON K!!

Main sochti hoon k hamara muashra kis taraf ja rha hai,sirf "degree" he taleem ki zamin q samjhi jati hai?acha ikhlaq,taleem k sath sath behtrenn tarbiyat kahan khote ja rhe hain!! hamari society mein ab apne baro or teachers se argue karne ko freedom of speech q kaha jane laga hai?? 

urdu zuban jo k hamari qoumi zuban hai usey parhne walo ko hiqarat ki nazaro se q dekha jane laga hai,q urdu medium se parhne wale students ko DM or LS kaha jata hai! 

hum kehte hain hum bohot modern,well educated,well mannered hogye hain phir q aisa hota hai k aik branded car mein designer cloths pehne betha insaan chips ka wrapper road pe phenkne se pehle aik bar bhi nhi sochta ,kahan chale jate hain uske manners.. 

aj humara pura mulk bijli k taweel buhran se guzar rha hai uske bawajood hum apni galiyo,sarko or gher ki lights din charhne k bawajood band nhi karte.hum government ko criticize tou bohot asani se kardete hain magar hum  kab apne mulk ki taraf apni zimmedariyo ko samjhenge!aik pakistani citizen hone ki hesiyat se pehla qadam uthayen ge! 

main sochti hoon or barha ye sochti hoon k q jab koi hum se hamari identity poochta hai tou hum khud ko punjabi,muhajir,sindhi,shiya,balochi,pathan keh k introduce karwate hain?q nhi kehte k main PAKISTANI hoon. 

q pakistan ko bura kehte rehte hain  jab k isey burai or pasti ki taraf le k jane wale bhi hum log he hain....

1 comment: