Friday, 20 April 2012

QOUMI PARCHAM K EHTRAM SE RUGARDANI!

Piyare hum watano,chan mahino baad august ka mahina shuru hone wala hai or hum sub k dilo mein purey saal se soya huwa pakistani b ani pakistaniyat le k bedar hone wala hai.. 

august k start hote he hum sub apne gali,mehello,universities,schools or gharo wghera ko jhandiyo or qoumi parcham se sajana shuru kardete hain.lekin afsos ki baat yeh hai k jaise he 14 august guzarti hai hamara mulk o qoum k liye jazba or hamare andar ka pakistani b sojata hai. najane wo mohabbat jo hamare dilo mein hamare mulk k liye hai sirf 14 august,6th september,23 march ya phir indo-pak match mein he q bedar hoti hai or baqi dino mein gehri neend soi rehti hai! 

jin jhandiyo or qoumi parcham ko ham khud apne hatho se nihayat he izzat o ehtram se lagate hain or apne gharo,gali,mehello wghera ki zeenat banate hain wo 14 august guzarte he hamare pero tale q rondi jarhi hoti hain,kbhi zameen bos nazar aati hain tou kbi dust bins wghera mein or hum be hiso ki tarha sub kuch dekhte huwe b nazar andaz kardete hain. jis qoumi parcham ko nihayat he izzat o ehtram se balandi pe lehrate hain wo pura saal wahin lehrata rehta hai bas farq itna hota hai k saal guzarne k baad wahan jhanda nhi bal k uski dhajji hoti hai...

watan parasti sirf jhanda lehrane or bari bari baten karne ka naam nhi hai,or na he jhanda balandi par lehrane se watan parasti ka haq ada hota hai bal k us jhande ki sar balandi k liye kaam karna uski hifazat k liye apni jaan tak dedena ye watan parasti kehlati hai. 

hamen chahiye k 14 august guzarte he jhando ko utar k rakhden or jhandiyan lagayen he nhi q k wo toot k zameen pe girti hain.ye chohti chohti baten hain jo hum aj karenge tou hamari aney wali naslen hum se seekhen gi.      

No comments:

Post a Comment