Aziz sahab apni factory se nikaley tu inhey ek phool jaisa bacha zaaro qataar rota nazar aya. Inhoney hath k isharey se un bachay ko apney pass bulaya aur is sey uska naam aur roney ka sabab pocha. Is phool jesey bachay ne jawab dya. Sahab ! mera naam kamran hai, mujhe pharhney ka buhat shook hai, lekin ghar k maali haalaat kharab honay ki waja se mere walidain ney meri pharhayi chorwadi hai, ye keh kar bachay ney hichki li aur dobara zaaro qataar rona shoro kar dya.
Aziz sahab ko ye sab batien sun kar kafi dukh howa, in ki ankhen num hogayi, inhoney ney dil hi dil mai ye tay kar lya k wo is bachay ko zaror pharhwayen gey. Inhoney ney kamran ko apni gaari mai bithaya aur is k sath kamran k ghar gayae. Wahan inhoney kamran k waalid sey bat ki aur kamran ki pharhayi k sarey ikhrajaat bardasht karen gey, is ki taleem ka silsila na khatam kya jaye, saath hi is k walid ko apni factory mai nokri ki paishkash bhi kardi. ye sun kr kamran k waliden buht khush howey.
Aziz sahab ney kamran ko aalaa taleem dilwayi aur pher inhey apni is naiki ja sila buhat achay andaaz mai mila k kamran kamran ek roz doctor ban gaya. Ek aisa doctor jis ki taleem ka chiraag ek waqt mai bujh raha tha, jisey aziz sahab ney roshan kiya . Dosrey alfaaz mai aziz sahab ney kamran ko jahalat key andheron mae ghum hojaney se bacha lya.
Yeh tu the ik kahani k kis tarhan ik ajnabi shaks ney ik aisy bachay ki madad ki jo pharh likh k kuch banna chahta tha, humey is kahani se sabaq hasil karna chahye aur agr hum madad karney k qabil hai tu har us fard ki madad karni chahye jo madad ka haqdaar hai.
No comments:
Post a Comment