Friday, 20 April 2012

HAALAAT E HAAZRA :

Shehr k aangan mein ab jo saaz yeh goonjta hai

Kya yeh hai woh raag jiska khwaab main sochti thi ?

Yeh firqawariat, yeh siasi aur lasani ,

Ban gaye hain jo wajah qatl-e-amn is shehr ka ,

Na koi karta hai khayal ab maa ki ujri goud ka ,

Na hi dharta hai kaan pe koi behn ki woh siskian ,

Koi na kyun samjhata us pujari-e-bandooq ko ?

Ek maa woh bhi thi jis ne tha tumhe paida kia ,

Muntazir hai woh sehr taa'beer-e-khwaab-e-amn ka ,

Kab yeh Muslim hongey mukhlis ? Muntazir mitti meri.

 

No comments:

Post a Comment